Hindi, asked by tejas12344, 2 months ago

10 sentences in which all the three kaal is used . pls answer​

Answers

Answered by PriyoMiss
27

Answer:

1.

bhavishya kal: mai waha jaungi

vartaman kaal: mai waha ja rahi hu

bhut kaal: mai waha gayi thi

2.

bhavishya kaal: mai apne bhai ko patra likhungi

vartaman kaal: mai apne bhai ko patra likh rahi hu

bhut kal: maine apne bhai ko patra likha tha

3.

bhavishya kaal: rajendra apne ghar ki marammat karayega

vartaman kaal: rajendra apne ghar ki marammat kara raha hai

bhut kaal: rajendra ne apne ghar ki marammat karayi thi

4.

bhavishya kaal: mere hath me chot lag jayegi

vartaman kaal: mere hath me chot lag rahi hai

bhut kaal : mere hath me chot lag gayi thi

5.

bhavishya kaal: Radha Chitra banayegi

vartaman kaal: radaha Chitra bana rahi hai

bhut kaal : Radha Chitra bana rahi thi

6.

bhavishya kaal: mere dil ki dhadkan me tum bas jaoge

vartaman kaal : mere dil ki dhadkan me tum base ho

bhut kaal : mere dil ki dhadkan me tum base the

7.

bhavishya kaal: mai apna grahkarya karungi

vartaman kaal : mai apna grahkarya kar rahi hu

bhut kaal: mai apna grahkarya kar rahi thi

8.

bhavishya kaal: mera ghar waha par banega

vartaman kaal: mera ghar waha par bana hai

bhut kaal: mera ghae waha bana tha

9.

bhavishya kaal. pitaji khana khayenge

vartaman kaal. pitaji khana kha rahe hai

bhut kaal. pitaji khana kha rahe the

Explanation:

sorry I was unable to type in hindi

Similar questions