Math, asked by legendnitin111, 9 months ago

2189 rupaye ko teen bhagon me is prakar banta gaya h ki inke byaj kram shah 1,2,3 varsho me saman hote hai yadi pratyek dasha me byaj ki dar 4% ho to sabse kam dhan kitna hhai.I will Mark you brainliest and follow you.

Answers

Answered by takshaykumar007
0

Answer:

answer may be 729 but if you want to know correct answer convert into English

Answered by amitsnh
0

Answer:

Prashn me yah nahi diya hua hai ki byaj sadharan byaj hai ya chakravridhi byaj. mai sadharan byaj mankar solve kar raha hun.

mana ki sabse badi rashi = x

usse chhoti = y

sabse chhoti = z

sabse badi rashi par 4% ki dar se 1 varsh ka byaj

= PTR/100

= x*1*4/100

= x/25........(1)

x se chhoti rashi y par 4% ki dar se 2 varsh ka byaj

= PTR/100

= y*2*4/100

= 2y/25........(2)

punah, z par 4% ki dar se 3 varsh ka byaj

= PTR/100

= z*3*4/100

= 3z/25.......(3)

prashnanusar,

(1) = (2) = (3)

x/25 = 2y/25 = 3z/25 = k (man liya)

x/25 = k

x = 25k.........(a)

2y/25 = k

y = 25k/2......(b)

3z/25 = k

z = 25k/3......(c)

kul rashi = 2189

x + y + z = 2189

25k + 25k/2 + 25k/3 = 2189

25k (1+1/2+1/3) = 2189

25k (11/6 ) = 2189

k = 2189*6/(25*11)

k = 199*6/25

k = 1194/25

now x = 25k = 25*1194/25 = 1194

y = 25k/2 = 25*1194/(25*2) = 597

z = 25k/3 = 25*1194/(25*3) = 398

Similar questions