Hindi, asked by gnandini668, 1 year ago

a hindi poem on the importance of games

Answers

Answered by pranjul1
11
Khelon ki duniya ka jadoo,
khel humein sikhlaate.
aao bachchon aaj tumhe main,
ek baat batlaaun.
khelon ka kitana mahatva hai?
yeh tumako samjhaaun.
khelon se sab kuchh mil sakta,
humko hanste gaate.
Khel...

Khel-khel mein saare bachche,
sehat khoob banaate.
uchhal kood kar masti karte,
jeevan ka sukh paate.
yah anand bina paise ka,
hum khelon se paate.
Khel...

Khel khelane se hi bachchon,
khel bhavna aati.
khel-khel mein jeevan ke sab,
bigade kaam banaati.
haar jeet se upar uth kar,
hum adarsh banaate.
khel...

Rupaya-paisa, dhan-daulat sab,
khelon se mil jaata.
Sachin ghuma kar apana balla,
laakhon laakh kamaata.
naam aur dhan paakar donon,
fule nahin samaate.
Khel...

Khelon ki duniya ka jadoo,
khel humein sikhlaate.
Answered by MavisRee
5

"आओ बच्चे खेलें खेल  

धक् धक् करती चलती रेल  

आओ मुन्ना छोटू आओ  

टिंकू पिंकू रिंकू आओ  

गुडिया करती रेलम पेल  

आओ बच्चे  खेले खेल  

धक् धक् करके धुंआ उडाती  

पेड़ों को है पीछे भागती  

मुन्नू आओ मूंगफली लाओ  

सब बच्चों का तालमेल  

आओ भाई खेलें खेल  

धक्-धक् करती चलती रेल "

Similar questions