A NICE SANVAD LEKHAN BETWEEN TEACHER AND STUDENT ABOUT HOMEWORK IN HINDI
Answers
savita ko grahkarya krne mein ruchi nahi thi. uski adhyapika ji ne use ek din alag bulakar baat kari. unka sanvad is prakar tha.
adhyapika : savita tum bade hokar kya banana chahti ho ?
savita : main to apne pitaji ke saman ek doctor banungi.
adhyapika : kya tumne apne pitaji ki pustakon ko dekha hai ?
savita : haan.
adhyapika : ek achha doctor banne ke liye padhai krni padti hai.
savita : ji.
adhyapika : har kaam ko sikhne ke liye abhyas krna padta hai.
savita : ji.
adhyapika : isliye agar tumhen doctor banne ka arman hai to tumhen abhi se svayam padhne ka abhyas krna chahiye ki nahi ?
savita : ji haan abhyas krna chahiye.
adhyapika : gruhkarya tumhen padhai ka abhyas krne ke liye diya jaata hai. yadi tum use kisi aur se krvaogi ya bina ruchi ke karogi to tumhen padhne ka abhyas nahi hoga.
socho aisi sthiti mein kya tum apna doctor banne ka lakshya prapt kar sakogi ?
is sanvad ke baad savita man lagakar gruhkarya krne lagi.