Biology, asked by ruqairuqaikhatoon, 4 months ago

Aadi fal ka sambhand kis se h​

Answers

Answered by Anonymous
1

Answer:Mahaveer prabhu ko vandan kar ke ek baar gautam swami mruga gaav mrugarani ke ghar pe prabhu ke aadesh anusaar gochri vhorne jate he.

Mruga putra ko dekh kar gautam sami ne prabhu se pucha

He kripalu is jeev ke aise kon se paap karm honge??

Tab prabhu mahaveer ne mruga putra ka purv bhav is tarah se bataya

Mruga putra ka purv bhav

Akhhayi rathod uska name tha purv bhav me

Woh mahasatdwar nagar ke swami dhanpati akhhayi rathod naam ka samant 500 gaav ka swami tha

Maha paapi, hinsak aur vyasani tha tax ka paisa vasul karta tha sab se

Praja ko khub satata tha aur khud moj karta tha

Woh logo ki aakh fod deta tha nosa ear sab katva deta tha aisa duskarm aacharta tha

Egg maans ka bhojan karta tha

Ant me woh xin ho gaya aur mandgi me aa gaya

Shwaas ka shul ka bhagndar ka rog ka bhog ban gaya

Prabhu ne kaha ki kiye huye karmo ki saza to yahi hi bhugatni padti he

Akhhayi rathod 250 saal ka aayushya purn karke mar gaya.

Prabhu ne kaha he gautam akhhayi rathod ka jeev mar kar mrugavati ki kukshi me avtarit hua he aur janm lene ke baad turant hi bhumi gruh durgandh me pada he

Usko aakh bhi nahi he

Eyes aur ear bhi nahi he

Nose ke sthan pe ek hi chhidra he woh wahi se swaas leta he mukh bhi pura nahi he aur hath pair bhi nahi he

Sirf maans ke pind me sharir he

Woh bhayankar vedna se pid raha he

Ek sath anek suiyo lagade aisi pida woh bhog raha he

Bhasmak vayu ki vomit hoti he

Ek sath anek maharogo ka uday he us par

Prabhu ne jo sunaya woh sun kar gautam swami sun kar stabdh ho gaye aur unke mukh se ek hi shabd nikla ki

"aho prabhu sakshat narak ye nahi to dusra kya hoga"

Tab prabhu ne kaha ki he gautam 32 saal ka ayushya purn kar ke woh agla bhav sinh (lion) yoni me jayega aur waha se mar ke woh paheli narak me jayega

Fir woh ek pashu ki yoni me aa kar nichi se nichi nark me jayega

Is tarah senkdo janm le kar durgati ki parampara bhog kar kiye huye karm ka fal bhog kar paap ki bhare se bhare saza bhogega

Kharekhar paap ki saza to bahut bhari he......

" Yeh prasang vipaaksutra ke 11ve angsutra me dukh vipaak ke pratham adhyayan rup me kahene ko aaya he."

Explanation:

Similar questions