Hindi, asked by s8hitavinishans, 1 year ago

Aaj ki nari abla ya sabla in hindi

Answers

Answered by monu7bishnoi
39
"Aaj ki nari abla ya sabla"

Aj ki naari aj pahle se jayda sabal aur sampuran hai . Agar hum unki kaamyaabi aur mehnaat ko dekhe to avshya hi hume samj aa jaayega ki unhone  kin mukam aur manjhilo ko haasil kiya hai .Aj Shakshi Malik (Olympic padak vijeta) se lekar agar Kiran Bedi (1st IPS officer ) tak ka itihaas dekhe se. Aajad bharat mai mahilao ne humesha samaj aur  ghar ka naam roshan kiya hai . Jise bhi thoda bhi avsar mila hai unho apna johar dikhaya hai .Apni  nipunta aur koushal ke dum pe aur  apne hunar aur khoshal ka jaadu jarur dikhaya hai . Ghar mai humesha 8 ghate kaam krne se lekar kisi rajya ki sarkaar  sambhaalne tak aurat ne apni bhumika bakhubi nibhaayi hai .Chahe Bank ho yaa taknik ka koi shetra sab jagah apna loha man waya hai .Aj wo bhi ghar ka aarthik  bhar sambhane mai kaamyaab hui hai aur desh ki tarakki mai bahut badi bumika adaa ki hai . Balika siksha mai badhava hua hai aur bal vivah par bhi pratibandh laga hai . Jis umar mai use jo kaam krna chahaiye wo  hi krne ka aaj avsar mil raha hai . Aj naari aagan ki tusli aur samaj ka suraj dono ban chuki hai . Lekin Aj  bhi ek bada tabka au rmahilao ka hisaa sampuran aajadi aur sabalta se koso door hai . Hume har samaj aur har gaon -sahar ki beti aur mahila ko saksam aur sammanit banana hai . Sochane wali baat hai ki aaj hume mahila sashaktikran ki jarurat kyu padi ? kabhi prursh sashaktikaran ki baat kyu nhi hui ? Aisa kya hai ki mahilaao ko pichhda aur aadmi ko agrim mana gya hai .agar hum itihaas mai jaakhe to baat ye hai ki ye aldaayi aadmi aur aurat ki nahi hai . naa hi ye bhed nar aur naari ke beech hai .Samshya aadi kaal se aa rahi anddhi pratha hai  jisme nar ko naari se uchha maana gya hai .sadiyo  se chali aa rhi iss bemani pratha ne aaj bhi kai ghro  ke rishto mai zahar ghol rakha hai . bhugata poora desh hai . Jabhi sachhayi ye hai nar aur naari ek dure ke poorak hai . dono hi ek jeevan rath ke do pahiye hai jinke saamjasye aur souhaard se ye raath saanti aur samridi ke raaste pea age badega . Ye baat sayta hai ki ek aurat kaa jeevan saaririk aur maansik roop se jayda muskilo ke odr se gujarta hai . isliye hume naari ko jaydaa aaram aur sayahtya de ni chahiye . phir chaaye wo ghar ke andar hoy a samaj mai ho . Naari shikha , buran hatya , dahej , paariwarik jhagde , maar peet . kuposahn naa jaane kitni pareshaaniyo se ghiri rahati hai . Is liye ye samaj aur aadmi ka farz hai  ki usko ek achha jeevan aur khushaal ghar de . kaha gya hai jaha naariyo ki poja hoti hai waha devta khelne aate hai . naari ko ghar ki laxmi kaha gya hai . Naari sirf saman hak au rbarabri chahti hai . dohre maapdand kabhi ki desh ke liye ache aur laabhkaari sabit nhi hue hai . chaahe wo balika sikha ho yaa noukari mai unko saman avsar ho . wo apne dum aur koushal se hi apna isthaan  samaj mai maang rhi hai . koi bheekh ya aahsaan nahi . Achhe vyavarik badlaab aura psi samman se ye aari ko ek ek uchit isthaan diya jaa sakta hai .jo kahte hai ki naari sirf tadan ki adhikaari wo sayad ye bhool jaate hai ki  ek naari unki maa bhi hai . ya jo ye kahte hai mahila ke to sirf do hi kaam hote hai , mool ( Bachhe paida krna ) aur chool (ghar ka chulah sambhal naa) wo ye bhool jaate hai  ki ek mahila unki beti bhi hai jo kabhi kisi  ki bahu banegi . uske bhi padhne likhe  ki umar hai . saar ye hi hai ki aapsi smaan se ye desh aur samj ka bhala ho sakta hai . Jiska jawalant udaharn Canada Sarkaar ki Sansad hai jaha 50 % mahilaaye hai . Dhanyawaad hai waha ke PM ko jinhone sab bhool kar naye door ka janaadesh chuna  aur barabri ka darja dilya .
Answered by Anonymous
11
aaj ki n aari bohot shikshit hai usse apne had adhikar is gyaan hai isiliye vo galat baat bilkul bhi sehen nhi karti.bhartiya samvidhan ne mahilaon ko kaafi share adhikar diye the hain. per yahi baat hamare gaon ki dalit mahilaon k vishya main him yahi baat not let sakte kyuki hain ki sthithi bohot kharab his wahan mahilaon ko awaaz uthane aur shiksha Graham karne ka koi adhikar nhi hai.garibi k karan log dhani logon ke atyachar sehne up majboor hain.
Similar questions