All Types Of Ras Examples which will ne easy to learn!!!!!!!
Answers
Hasya Ras:
Hathi jaisi deh hai,ghode jaisi chaal,
Tarbuje si khopdi,kharbooje jaise gaal.
Vir Ras:
Vah khoon kaho kis matlab ka jisme ubaal ka nam nhi,
Vah khoon kaho kis matlab ka aa sake desh ke kaam nhi.
Bhakti Ras:
Mere to girdhar gopal dusro na koi
Raudra Ras:
Us kaal mare krodh ke tanu kaapne uska laga,
Mano hawa ka jor se sota hua sagar jaga.
Sanyog Sringar Ras:
Ek jangal hai teri aankho mein
Mai jahan rah bhool jata hoon
Tu kisi rel si gujarti hai
Mai kisi pul se thartharata hoon
Viyog Sringar Ras:
Nisi din barsat nain hamare,
Sada rahit pavas ritu hampe,
Jabste syan sidhare.
Vatsalya Ras:
Kilkit kanha ghutruvan aavat,
Manimay kanak chandra ke aangan bimb pakribe dhaavat.
Karun Ras:
Hay ram kaise jhele hum apni lajja apna shok,
Gaya hamre hi haatho se apna rastrapati parlok.
Adhbhut Ras:
Akhil bhuvan char achar sab,
Hari mukh me lakhi matu,
Chakit bhai gadgad vachan,
Viksit drag pulkatu.
Bhayanak Ras:
Baladhi bisal ,vikral,jwal -jal mano
Lank lilibe ko kal rasna pasari hai.