Allama iqbal ki nazam chand aur tare ka khulasa in urdu
Answers
Answered by
2
Answer:
Darte Darte Dam-e-Sehar Se
Tare Kehne Lage Qamar Se
Nazare Rahe Wohi Falak Par
Hum Thak Bhi Gaye Chamak Chamak Kar
Kaam Apna Hai Subah-o-Shaam Chalna
Chalna, Chalna, Madaam Chalna
Betaab Hai Iss Jahan Ki Har Shay
Kehte Hain Jise Sukoon, Nahin Hain
Rehte Hain Sitam Kash-e-Safar Sub
Tare, Insan, Shajar, Hajar Sub
Ho Ga Kabhi Khatam Ye Safar Kya
Manzil Kabhi Aye Gi Nazar Kya
Kehne Laga Chand, Hum Nasheeno
Ae Mazra-e-Shab Ke Khausha Cheeno!
Junbish Se Hai Zindagi Jahan Ki
Ye Rasm Qadeem Hai Yahan Ki
Hai Dorta Ashab-e-Zamana
Kha Kha Ke Talab Ka Taziyana
Iss Reh Mein Maqam Be-Mehel Hai
Poshida Qarar Mein Ajal Hai
Chalne Wale Nikl Gye Hain
Jo Thehre Zra, Kuchal Gye Hain
Anjaam Hai Iss Kharaam Ka Husn
Aghaz Hai Ishq, Intihaa Husn
Similar questions