Ano ang tawag sa notang ito? *
1 point
Captionless Image
Answers
Tanhayee, tanhayee
Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi
Toote khwaab saare, ek maayusi hai chhaayi
Har khushi so gayi, zindagi kho gayi
Tumko jo pyaar kiya
Maine to saza mein paayi tanhayee
Tanhayee, milon hai phaili hui tanhayee
Tanhayee, tanhayee
Milon hai phaili hui tanhayee
Khwaab mein dekha tha ik aanchal
Maine apne haathon mein
Ab toote sapno ke sheeshe
Chubhte hain inn aankhon mein
Khwaab mein dekha tha ik aanchal
Maine apne haathon mein
Ab toote sapno ke sheeshe
Chubhte hain inn aankhon mein
Kal koi tha yahin
Ab koi bhi nahin
Banke naagin jaise hai saanson mein laheraayi
Tanhayee, tanhayee, palkon pe kitne aansu hai laayi
Tanhayee, tanhayee, palkon pe kitne aansu hai laayi
Kyun aisi umeed ki maine
Jo aise naakaam hui
Door banaayi thi manzil
To raste mein hi shaam hui
Kyun aisi umeed ki maine
Jo aise naakaam hui
Door banaayi thi manzil
To raste mein hi shaam hui
Ab kahaan jaaun main
Kisko samjhaaun main
Kya maine chaaha tha aur
Kyun kismat me aayi – tanhayee, tanhayee
Jaise andhero ki ho gehraayi
Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi
Toote khwaab saare
Ek maayusi hai chhaayi
Har khushi so gayi
Zindagi kho gayi
Tumko jo pyaar kiya maine to sazaa mein paayi
Tanhayee, tanhayee
Milon hai phaili hui tanhayee
Tanhaai, tanhayee
Milon hai phaili hui tanhayee
Tanhayee, tanhayee, tanhayee, tanhayee.