Bharat anekta me ekta essay
Answers
Answered by
3
Vividtha mein ekta humari sanskrutik pehchaan rahi hai. Bharat
desh mein vibhinna dharm vidyamaan hai. Na sirf jathiya balki bhashayi
aadhar par bhi bharat ki vividtha gour ki kabil hai. Bhoughlik,
saamajik, aarthik, dharmik, sanskrutik aur nissandeh vaicharik vivdtha
hi es desh ki sabse badi shakti hai. En tamam vividhavon ke beech jo ek
sutra humein ek banata hai, woh hai ek Bharat Desh ki rup mein humari
sakar kalpana. Apni lōkatāntrika śāsana kē mātra 61 saal mein Bharat ne
ek mahilā rāṣṭrapati, ēk sikha pradhānamantrī, purva sattarurha pārtyī
ke adhyaksh kē rup mein ēk itālvī mein janmē mahilā, aur ēk purva
adhyaksh jo musalman the, dekha hai. Bharat desh apne aap mein ek vishwa
hai. Humare yahan dharti ka swarg kashmir hai tho rethila rajasthan bhi
hai. Sujalaam sufalaam vali bangal ki dharthi hai tho sukha kutch bhi
hai. Nainital, Shimla, Himachal aur Assam ke tand kshetra hai tho Keral
aur bhubhaneswar jaise garm sthaan bhi hai. Aaj ka bharat yeh baat se
parichith ho gaya hai ki yadi woh ek hokar nahi rahega tho woh vikas ke
raate par chal nahin saktha. Jis prakar 4 - 5 lakdiyon ko judne se koi
use tut nahin saktha, usi prakar har dharm ke vyakthiyon ka ekta ke
sutra mein bandhe desh ka koi kuch nahin kar saktha. Is ekta ne bharat
ko nayi unchayiyon se jod diya hai. Yahi ekta ke mantra ka chamatkar
hai.
vaibhavV:
can u do it in devnagri
Similar questions