Hindi, asked by sowmyab0rankuz, 1 year ago


बढ़ती हुई महंगाई पर दो स्त्रियों का संवाद लिखिए?

Answers

Answered by Mona2001
592
1 lady: Arey! aap yahan?
2 lady: Ji! Sabziya kharidne aayi hu aur aap?
1 lady: Main kuch khariddari karne aayi hu.
2 lady: Man to karta hai sab kuch kharid kar aaj hi ghar le jau. Mehangai itni badh gai hai ki pata nahi kal ko kuch kharidna sambhav ho ya nahi.
1 lady: Baat to apki sahi hai ! Kal jo daal 40 rupay kilo thi aaj 200 rupay ki ho gayi hai.
2 lady: Chunavo se pehle to sabhi mehengai kam karne ke daave karte hai lekin chunavo ke baad...
1 lady: Kisiko apni jeb bharne se fursat nahi!
2 lady: Ab to amdani atthanni kharcha rupya wali haalat ho gayi hai.
1 lady: Itna kharcha hoga to hamare parivar ke bhavishya ka kya hoga!
2 lady: Bhavishya to tab surakshit hoga jab hamara aaj surakshit hoga.
1 lady: Haan,wo bhi hai! Chaliye! Fir milte hai.
2 lady: Ji thik hai!
Answered by nima79
95
mai ne aapko ye pic bheji ho wo aap istemaal karle sakti ho!!!!!
plz mark me as the brainliest
Attachments:
Similar questions