Hindi, asked by kanikaagawal08, 1 year ago

c c e pattern shiksha ke star ko gira raha hei.debate in hindi

Answers

Answered by monu7bishnoi
1

CCE pattern shiksha ke star ko gira raha hai ?

 

Sabse pahle to hume ye jaan lena chaiye ki CCE patrren kya hai ?

CCE ek CBSE dwara uthaya gy aaisa kadam hai jismai  chaatro ke sarvangeen vikas ki baat ki gayi hai . iske antargat har bachhe ka mansik aur saririk vikas ho aisa aadesh diya gya hai . Jaisa ki naam se hi jazir hai ki ye lagataar aur saghan mulyankan (Continuous & comprehensive Evolution ) krne ki padhaati hai .Jis mai  bachhe ki samta aur kushalta ko jaan ne ke liye saal ke suruaat se hi kuch aise kadam uthaaye jaaye ki uska sabhi setro mai achha vikas ho .

CBSE ne kaha hai ki ye pralni apnane se  bachho mai parikshao ka tanaav kam hoga . unka sampooran vaktitav vikas hoga . PAdhaayi ke prati ruche badegi .Seekhen par jayda bal diya jaayeg a. naa ki yaad krne aur ratne par dhaan rahe humesha.aur ye bachho aur adhyapako ko apne anusaar padhaayi krne ki anumati deta hai . CCE ke disha nirdesho ka palan krte hue wo kaise bhi bachoo ko padha sakte hai . iss mai saal mai ek ho pariksha ki bajay 4 baar  wo bhi alag alag tarah se bachho k amulyakan liya jaa sakta hai aur bachhe bhi ekdum se gambeer tanav main hi aayeneg .aur naa hi unko apne maat pita ya doste se achha parinaam dene ka davab jhelna padega .

Mukhya tak ye ek kiyavidhi par aadharit siksha pranali hai jo CBSE bachho aur  adhyapako ko batana chahati hai .

Lekin jaise jaise CCE ka kyanvan ho raha hai bahut si baate saamne aa rhi hai ki kya ye vakayi mai bachho adhyapko lke liye sahi hai .

To abhi tak k sach ye   hi hai ki ye ek accha utpaad hai lekin isska dibaa achha nhi hai . matlab iski sabhi baate achhi hai lekin iska kryanwav thod athik nahi hai . hum bhi chahte hai ki bachha koi baat rate nhi balki samjhe .wahi dusri aur adhyapak bhi sab par saman dhyaan de . lekin iss douraan bahut baate hai jo dhyaan dene wali hai . ek to ye sirf class 1 se 5 phir 5 se 8 mai suru krna chaiye tha. Naa ki seedha 1 se 12 tak .adhyaapko ka kaarya bhaar bahut badh gya at parinaam unte ache nhi aa rhe hai jiski CBSE ko umeed thi .Dusari baat class 8 ke baad grading system naa hoke %  niyam hi rakhe to behtar hai . kyuki inssi class mai aage ki yogya taaye nirdharit hoti hai aat 90% aur 96% ek hi grading main hi aa sakte . koi to antar jarur hona chahiye . antim baat ye hai Dheere dheere kyrancan kr ke iske prabhav dekhe jaaye naaki isse sab par thopa jaaye . suru mai 1 se 5 class ko ki CCE ke antargaat laaye . aur umeed hai ki parinaam bahur behtar aayenge  kyuki in class mai jayda kaatabi gyan naa hokar prayogik hi hota hai atah bachhe iska bahut sawagat karege  aisa prateet hota hai . ek baar jab ye bachhe samjne lage tab isse 5 t0 8 tak bhi chalu rakhe . lekin 9 to 12 ko door hi rakhe . kyuki jo maansik aur saririk vikas hona hota hai wo class 8 tak ho chukka hota hai aur grading pranali se use prohtsahan mil chukka hotahai . ab jab aage rojagaar aur desh nirmaan ki baat aaye to hum kisi bhi baat se samjhota nhi kr sakte . hume sirf kusahal aur nipun yuva hi chaiye . jo jaha sahi hai use wahi kisis krni chahiye . apna aur rasta ka samay aur mulya  barbaad nhi krna chahiye . jise doctor banana hai use  ganit ke sutra samjha ke kya faayda . aur jo geetkaar bana na chahta hai us par hum jeev vigyan kyu thope .

Umeed hai CCE se siksha ka istar girega nhi balki aane wale samay mai bhratiya siksha padhati ko au rupar le jaayeg a.bas ek sahi disha aur kryaanvan ki jaruart hai .

Similar questions