Hindi, asked by SainiPatil512, 1 year ago

cleanliness campagian

Answers

Answered by sami99
0
Desh k vikas k liye swachhta bahut avashyak h. Agar desh swachh rahega , to hi swasth rahega. Is baat ko dhyaan m rakhte huye hamare pradhan mantri Shri Narendra Modi ne "swachh bharat abhiyan" shuru kiya h. Yah abhiyaan 2 October ko prarambh huya tha. Yeh abhiyaan Modi ji ne Gandhi ji ko shradhanjali swaroop diya h. Kyunki hamare Bapu Bharat ko ek swachh desh k roop m dekhna chahte the. Is sapne ko sakar karne k liye, pure desh m yeh abhiyaan shuru kiya gya h.
Is k doraan vidyalayo m bhi kayi gatividhiyan jaari ki gyi h, taki yeh abhiyann sirf bado tak hi seemit na rah jaaye.
Hame kuda-karkat sirf kudedaan m dalna chahiye. Hame dusro ko swachhta k mahtv k baare m batana chahiye. Hame har koshish karni chahiye jisse hamara desh ek swacch tatha swasth desh ban sake.

Swachhta ka agar rahe khayaal, to Bharat ho jaega khushaal!!

:) 
Similar questions