Hindi, asked by shreyaeya90015, 10 months ago


Complete the story:
Ek bhikhari__bhik magna__ek vyakti ka dekhna__phulo ka guccha dena__ samzana__ bhikhari ka phol bechna__ Mandir ke saamne dukan kholna__ parivaar ki parvarish karna __sukhi hona __ sikh__ shirshak.

Answers

Answered by frootitiwari525
2

Answer:

ek samay tha jab ek sheher mein ek bhikhari roz mandir ke saamne bhik mangta tha . jab bhi vah bhikhari bhik mangta tha tab ek vyakti usse dekhta tha aur afsos karta tha ki kaash vah uss bhikhari ke liye kuch kar pata. tab usse agle din ek sujhaav aaya . agle din vah vyakti phoolon ki dookan par gaya . usne vahan se gulaab ke phoolon ka guccha liya aur uss bhikhari ko de aaya . ab jo koi bhi mandir jata ussi se phool le kar jata . uski achhi kamai ho jati. bohut din tak vah phool dene vala vyakti wahan se nahi guzra kyonki usse kahin bahar ganv kuch kaam tha . parantu jab vah lauta tab usne dekha ki uss bhikhari ne mandir ke saamne ek bada sa dukaan khol liya hai. uss vyakti ko bahut khushi huyi ki vah apne parivar ka ab achhe se khyaal rakh pata hai . uss bhikhari ne bhi uska apne tahe dil se shukriya kiya.

Similar questions