Hindi, asked by prasadguturi4320, 9 months ago

Conversation between two birds in Hindi

Answers

Answered by antara44
2

Answer:

hey mate here is your answer

Explanation:

do pakshiyo ke beech baatchit-

KOUWA- are koyel rani tum mere ghosle mein apne ande kyo rakhte ho?

KOYEL-Rakhti bhi hun to tumhe pata kaha chalta hai buddhu! Tum to mere baccho ko bhi paal- pus kar bada kar deti ho .

KOUWA- are are!baat yeh nahi hai mujhe malum hai ki kaun sa mera anda hai aur kaun sa tumhara . Mai to bahut dayalu hun isliye tumhare bacche ko bhi apne hi bacche jaise paalti hun.

KOYEL- kowya behen , aksar baat yeh hai ki humare jati mein kisi ko ghosla banana nehi aata. aur to aur humko bacche paalne ki adat nahi hai.

KOUWA - are bhai to bacche hi kyun paida karti ho jab unhe tum samhal nahi sakti.

KOYEL- Ye to khuda hi jane. Hum sangeet se jude hue he, sadhna karte hai, agar bacche plane lag gaye to phir career ka kya hoga? Tum hi batao behan......

KOUWA- are are ro kyun rahi ho tum ? Maine kya tumhare baccho ko palne se inkar kar diya hai? main to bus yun hi tumse is chiz ka vajah janna chahti thi. Tumhari kafi tarif sunti hun, tum bahut accha ganaa gati ho koyel, kabhi kabhi main tumhari Awaaz sunkar itna man mugdh ho jati hun ki kaha hun kya kar rahi hun sab kuch bhul jati hun. chalo khyar. Tum maina ko bhi gaana sikhati ho na?

KOYEL- Ji ! Maina bahut accha gati hai par bulbul meri sabse acchi shishya hai.

KOUWA- Accha mein chalti hun .

KOYEL-Alvida!!..

hope this answer will help you.

please mark me the brainliest !

and follow me

Similar questions