dharm ekta ka madhyam hai
Answers
dharm ekta ka madhyam hai
Jaha tak mera manna hai dharam ekta k madhyaam nhi hai . Dhrama ek visvaas aur aadhyaatam ka madhyaam hai . Dharam ek jeevan shaili hoti hai jo insaan ko apni aastha ke anusaar apne bhagwaan aur isht se jode rakhti hai . Sabko kisi dharam ke anusaar jeen ka saman hak hai lekin kisi ko dharam badane hetu uksaanna yaa majboor krna bahutbada apraadh hai. Dharam man mai saanti aur sadbhaav lata hai . Ekta ek veechar hai .Savaym ked haram par hume garv hona chaiye au ranya dharmo ke parti sammaan ka bhav ho . Agar dharam ekta hota to kabhi saman dhram wale apas mai nhi ladte jo kin hi paya jata . sab log kisi naa kisi baat par ek doosre par hamala bolte rahte hai . AArakshan aur setrawaad maid haram ka koi issthan nhi rah gya hai . aaj ka manav dharam ke prati apni aashta aur jimmedaari bhool kar jab chaha aur jaise chaha aur galat faayda uthata hai . Sarkaar ko dharam sahisanutaa ke naam par gatat kaam ke liye baadhya krta hai . Dharam ek vishwaas hai . Hum chaaye diya jalaye yaa mombaati uddyesya ek hi hota hai . sabki bhalayi ki chah aur wivswa saanti ki kaamna . ekta ek gun hai jo sabhi baat par saman laagu hota hai .agar ekt ahai to phir wo sirf desh ke naam pe honi chhiye dharam ke naam pen hi . Ekta aur akhandta poore desh ke liye ho sirf dhram ke naam pe nhi . Ekta dhram se badi ho jaati hai jab desh ki bhalayi baat aati hai . dharam hume baant sakta hai lekin ek deshwasi hona hume ek banata hai . ekta desh ke liye aur dharam se upaar rakhe . ye hi aaj ki jaruart hai .