Hindi, asked by shrishtiknp26, 11 months ago

Dialogue between father and son about the corona pandemic.

Answers

Answered by sp208
11

Explanation:

son : papa ye Coronavirus kya hota h.

father : Coronavirus ek prakar ka viruses h jo ki insaan k sharir me jakr insaan ko bimar kr deta h.

son : par papa ye pahle to nahi tha fir achanak kaise chla aya.

father : beta ye China k wuhan shahar se faila h, wha k ek bazaar se jaha janwaro ka meat becha jata tha.

son : to papa ye janwaro ko v ho skta h.

father : nahi beta av tak ye bimari sirf insaan se insaan k bich hi fail rahi h.

son : papa, ye ek insaan se dusre insaan me kaise failti h.

father : beta, agar kisi ko coronavirus h to uske chhinkne se nikale taral padaarth idhar udhar fail jate h aur agar koi swasth insaan un padartho k sampark me ata h to use v ye sankraman ho jata h.

son : papa, tab to ham is bimari se bach nhi sakte

father : nahi beta aisa nhi h, ye bimari jaanleva to h Or failti v h par kuch tarike h jisse is bimari se sankramit hone se bcha ja skta h.

son : acha papa wo kaise mujhe btayiye

father : beta, agar hume is bimari se bachna h to hume niyamit roop se hath sabun se dhone chahiye aur alcohol wale praprakshalak ko baar baar hatho par lagana chahiye.

son : acha papa to kya sirf itna karne se is bimari bacha ja skta h.

father : ha beta, tatha sarkar dwara jari curfew ka palan karna chahiye, kisi se v baat kare ya mile to 1 meter ki duri bna kar rakhe aur ghar par hi rahe aur yadi bahar ja rahe h to chehre ko gamchhe ya mask se dhak kar jaye, sawdhani banaye rakhe, Sare ghar ki safayi karte rahe.

son : ji papa main aisa hi karunga aur khud ko aur ghar ko saaf rakhunga aur av dosto k sath khelne v nahi jaunga.

father : ha beta mujhe pata h ap bahut samajhdaar ho.

son : dhanyavaad papa, ab main ye sari jaankari phone par apne dosto se bataunga aur unhe v aisa karne ko kahunga.

father : khyaal rakho beta ( muskurate hai)

Similar questions