dialogue writing in hindi ..... pls give me the answer of this!!!!
Answers
Saman bechne wali ladki Aur grihani
Grihani: Kaise de rahe ho yeh golap ke phool?
Ladki: 20 rupiya me 50 gram
Grihani: Aree itna mehnga ho gaya hain kya phool bhi?
Ladki :Ha Didi;Kya kare saro taraf mehenga hi mehngai hain
Grihani:Ha yeh toh soch hain.Mujhe bhi ghar chalane me muskil hoti hain aajkal.
Ladki: Ha ji didi mehngai ne toh hum log jaise garib ka toh jeena hi muskil ho gaya hain.
Grihni: Aur tum phool bechne ke saath padai karte ho kya?
Ladki: Nahi di; meri padai bich me hi ruk gaya tha,kyunki kamane wala kom par raha tha ghar me.
Grihni:Kyun maata-pita kaha hain?
Ladki: Pitaji bemaar hain hospital me ilaaz chal raha hain aur maa bhi ghar ghar me kaam karke thoda bahut kama leti hain.
Grihni: Oh! teri zindegi ka safar toh bahut hi dukh-dayak hain.
Ladki: Kya kare Didi.Sabhi logo ka haalat ek jaisa nahi hote.
Grihni: Thik hain main jitna ho sake tumhari madat karne ke liye koshish karungi.
Ladki: Dhanyabad Didi.Bhagwan aap ko har samay khush rakhe.