Hindi, asked by Vikashzeus759, 10 months ago

do aurto ke bich samvad in 15 dialogue

Answers

Answered by pompa85
0

Sushma ---- Are Mitali, kaisi ho? Aj kal to bohot kam dikh rahi ho.

Mitali ---- Kya karu, ab bachhe bade ho gaye hai to unhe school bhejna parta hai. Inke pitaji bhi subah subah kaam le liye chale jaate hain.

Sushma ---- Tab to tumhara kaam aur bhi bad gaya hoga. Ek to ghar ke kaam, upar se bachho ki dekhbhaal.

Mitali ---- Ha sushma, isliye aj kal main pehle ki tarah bahar jyada ghum bhi nahi pati, bazaar jaane ko bhi samay nahi milta.

Sushma ---- Hum aurto ke naseeb me to yahi likha hai, kabhi bahar jaana padta hai to kabhi bachho ko dekhna padta hai, kabhi pati ko to kabhi parivaar ko. Itna sab kuch hum ek sath kaise kar sakte hain? Koi baat nahi, aj mera jyada kaam nahi hai, tum kaho to main tumhari madad karne aa jau?

Mitali ---- Isse adhik khushi ki baat aur kya ho sakti hai, baatchit bhi ho jayegi aur kaam bhi.

Similar questions