do prakritik sankhaye jinka antar 66 aur lcm 360 hai ye sankhaye gyat kijiye
Answers
Answered by
4
Answer:
mana ki chhoti sankhya x hai
to badi sankhya x+66 hogi
dono sankhya ka HCF dono sankhya ke antar ko aur LCM ko bhi divide karega. isliye dono sankhya ka HCF wahi hoga jo 66 aur 360 ka HCF hoga.
66 aur 360 ka HCF 6 hai.
hum jante hai ki do sankhyayo ke liye
hcf x lcm = pehli sankhya x dusri sankhya
360*6 = x(x+66)
x^2 + 66x - 2160 = 0
x^2 + 90x - 24x - 2160 = 0
x(x+90) - 24(x+90) = 0
(x+90)(x-24)= 0
x = 24, -90
x = 24 (chunki sankhya prakritik hai)
dusri sankhya
= 24+66
= 90
Similar questions