Hindi, asked by pro2yr4angRachri, 1 year ago

Essay on charitra bal

Answers

Answered by monu7bishnoi
22

Charitra bal

Kahate hai ki bad achha par badnaam bura . Kyuki agar koi buraayi hai to hum samay ke saath achhayi mai badal sakte hai lekin agar ek baar naam kharab ho jaaye to uske thik krne aur wapas wo hi ijaat aur samman paane mai barso lag jaate hai . Issliye hume sadaiv ek charitawaan insaan ban na sikhaya jaata hai . Uchh charitra hi srasthta ki nishani hai . Hum kitne sachhe aur imaandaar hai ye hi hamari jeevan  ki pooji ko darsata hai . kya matlab agar arabo rupaye kama liye lekin jail jaana pade chari aur baibaani ke kaamo ke karan . Kam ho par sachha ho ye hi dheyay hona chahiye jeevan hai . Apne mata pita aur bade bujargo se hume seekh leni chahiye ki kis prakaar unhone saada jeevan aur uchh vichar ka palan kiya . Bina kisi lobh aur lalach ke ek ardarsh jeevan apne charitra bal par jiya . Apne man ke andar ke paap aur gurguono mitakar agar hum ek nidar , imaandaar aur bedaag charita ka nirmaan kre to sayad hume kisi aabhushan ki jaraurat nhi padegi achha dikhne yaa logo ki prasansa ka patra ban  ne mai. Kahte hai ki ek achha charita ek manushya ka sachha abhushan hota hai . phir use kahi ki aadambar ko dharan krne ki jarurat nhi hoti . Wo kitni bhi takleef mai kyu nah o koi na koi to madad mill hi jaati hai . sresth charitra ka rasta thoda muskil jarur hai lekin manjil bahut sudar aur aanandayak hai . jaise sona aag mai jal kar hi kundan banta hai waise hi chahhe to insaan bhi khud ko neki aur imaandaai ki kasoti par khud ko chamka sakta hai. Kamal humesha kichad mai hi khlte hai !!

Similar questions