Hindi, asked by ram66, 1 year ago

essay on effect on notebandi in hindi

Answers

Answered by monu7bishnoi
0

Note bandi

 

Jaisa ki hum sab jaante hai 8th November 2016 ko saam 7 baje Desh ke Pradhaanmantri Shri Narendra Modi ji ke atihaasik faisala liya ki Raatri 12 baje ke baad 500 aur 1000 ke mudra vinimay note band ho jaayenge .Matlab ki unka koi mulya nhi rahega. Wo kisi vayaparik aur aarthik karya vikrya mai kaam nhi aayeneg .

Achaanaak liye faisle se poora desh achaambhit tha . Lekin aaj Jab 50 din baad isthiti dekh rhe hai to pahle jaisi hi saantipooravak hai . RBI ne naye 2000 aur 500 ke note jaari kr diye hai . Sab ko 31st decebember 2016 tak ka samay diya gya tha ,apne sabhi puraane 1000 aur 500 k note bank mai jama krnwaane aur tay seema tak ke naye note lene ke liye . Ab naye saal mai agar kuch bach bhi gye hai to RBI bank mai jaa ke note badalwa sakte hai wo bhi tak nischit dinaak tak .

EK ache desh ki behtaar  aarthik isthiti ke liye har 10 saal mai note badalne chahiye aisa sabhi aarthsaastri kahate hai aur bahut si kitaabo mai likha bhi gya hai .

Note badalne se  nakli note , aantakwaad , jamakhori aur mehngayi par kaabu paya jaa sakega . Jo ki ab dikh bhi raha hai . Grah rin ki dare kam hui hai aur desh mai saanti hai . sara puarana paisa bank mai jaa chukka hai jo ki ab naye aur behtaar tareeke de desh ki pragati par kharch kiya jaa sakega aur kar pranaali sudradh aur sakrya hogi . Sabse badi baat paardarshita aur imaandaari aage aayegi .

Aam janata sirf apna ghar aur achhi sikhsa chaahti hai . Sarkaar ko aanya baato par dhyaan dena chahiye jaise  bijali , paani aur sadak vikaas . Taali dono haatho se bajati hai aur umeed hai ki ye Note bandi ka faisla ek naya savera laayega desh k bhavishya ke aangaan mai !  

Similar questions