Hindi, asked by prithvi2, 1 year ago

essay on mera swatch bharat in hindi

Answers

Answered by navyaashah
2
aaj kal, jahan bhi mein jaati hoon vaha gandagi aur badboo phelti rehti hein. yeh sab ko dekh kar mein apne aap se puchti hoon, "Hamare desh ko kya ho gaya hai?
Kya mein is desh mein rehna chahti hoon?
Kya hamara Government ko pata hai kitni gandagi hein?"
Aaj mujhe iss savaalo ka jawaab mil gaya hein.
Hamara desh ek accha desh tha, ek maasoom baccha ki tarah, jab hum angrezon ke shaasan ke adheen mein the. Par, jab humko aazadi mili, hum ne yah aazadi bahut galat tareeke se liya hein. humne yeh socha ki chalo mein yaha yah bhog neeche phek deta hoon kyunki ab angreji waalon kucch Kai nahi sakthe.
par ab hum sab ko uss baevakooph vichaar ke parinamoon ka samna karna hoga.
kuch hi kaaranon ke liye mein Iss desh mein nahi rehna chahti, magar kuch ke liye mujhe mere desh ko chod kar kidhar nahi jaana hai.
mujhe aise desh mein rehna hai, jaahan sab log ko swacchatha ki khabar hai. uss desh mein jaha sab log ke sar ke oopar ek chath hai.
uss desh mein, jaha saara desh ek ban kar yah desh ko ek shudh aur surakshit desh banai.
yeh, deviyon aur sanjnon, hai mera swacch desh. mera swacch desh hai aapka swaach desh. aur humara swacch desh hai bhagvan ka aashirwaad.
Similar questions