Essay on 'Shiksha hamara Janm sidh adhikar hai'
Answers
Answered by
7
Shiksha humara janamsidh adhikaar hai .21wi sadi aur aajadi ke baad jis baat ne desh ke yuvao aur aane wali pidhee ko bal diya hai aur unke sapno ko nayi udaan di hai wo hai Shikha ka Adhikaar . Sarkaar bhi dhanyawaad ki partahai ki unhone ne iss bare mai socha aur Right to Education ko laagu kiya. Ab har bachha pad sakega . Schoolo ko nyuantam pravesh ke aadesh diye hai . Har sarkaari aur ab to private school mai bhi nyunatam 25 % aarthik aur pichhde vard k bachho ke kiye seat aarakshit hai .jaat paat , ling aur aarthik isthiti kisi ki rah ka roda naa bane . sabko padne ka samaan adheekaar hai . Kisi bachhe ko 5wi class tak fail bhi nhi karne ka vichaar hai jo ki uska manobal badhaaye aur School chhodne walo ki snkhya mai kami aaye. desh mai har saal bahut se bachhe sirf fail ho jaane k karan school chhod dete hai .isliye 5th class tak padhayi ko aanadpoovak banaye au rmajedaar baaane k liye baste ka bojh bhi kam kiya hai . Shiksha ka adhikaar ek moulik adhikaar hai . Sikhsa har bachhe ka janamsidh adhikaar hai aur use iss se door rakhna ek apraadh ki bhaanti hai jo ki bilkul bhi savikaar nhi hai . 6 se 14 saal tak ke bachhe ke liye ab school jaa uska hak hai . aur sarkaar 8 wi tak nishulk sikhsha degi.Sarkaar apna kaam aadhe se jayda kr chuki hai ab hume aur smaaj ko apna utar dyitav samajna hoga . Bachho ko padhaayi k liye prarit kre aur baal sram ki aur naa jaane de . baal vihah jaisi baato ko unke pakho ko kaatne kaa kaam na krne dena chahiye .
Similar questions