Hindi, asked by skandaMishra33, 1 year ago

Essay on six seasons of India in hindi

Answers

Answered by PreethiShankar
40
Bharat rituon ka desh maana jaata hai. Hindu Calendar ke mutabik ek saal mein 6 ritu hoti hai. Woh hai - Vasant Ritu, Grishma Ritu, Varsha Ritu, Sharad Ritu, Hemant Ritu aur Shishir Ritu. Bharat mein prayah pratyek ritu do do maheene rehthi hai. Rituon mein Vasant sabse suhavni hoti hai .Isi liye isko ritu raj kaha jata hai. Vasant ke madhur mausum mein na garmi adhik satathi hai aur na sardi. Vasant ritu ke aate hi dharti ki sundartha bad jaati hai. Is ritu mein holi aur vasant panchami mukhya tyohaar hote hai. Grishma Ritu apne saath tapthi dhup lati hai. Isse shareer mein paseena adhik aane lagta hai. Sheetal jal durlab ho jata hai. Pashu pakshiyon ke liye bhi jalshayon mein jal ki kami ho jati hai. Is samay chaaya bhi maano chaaya dundthi hai. Grishma ki bhishantha kathm hote hi purab ki oar se sheetal purvai aa jati hai, jo apne saath meghon ko lati hai aur varsha ritu ka samrajya cha jata hai. Tab tap tap rim jhim karke pani barasne lagtha hai. Jab musladhar varsha hoti hai toh nadi naale, jalshay aur talaab pani se bhar jaate hain. Jal ko jeevan kehte hai. Varsha ke jal se hi humari pyasi dharthi trupth hoti hai. Varsha ritu mein teez, saanve aur rakshabandhan ke tyohaar manaye jaate hai. Sheegra hi varsha ke prakop se pranimatra ki raksha karne ke liye sharad ritu padarthi hai. Sharad ritu mein aakash swach ho jata hai, dharti par kheechad sukh jaata hai. Is ritu mein na adhik garmi hoti hai na adhik tand. Bada suhavna mausam hota hai. Is ritu mein vijayadasami aur deepavli ka tyohaar manaya jaata hai. Jab surya dakshinayan ki oar chal padtha hai toh sardi ka aarambh ho jata hai. Tandi hawa chalne lagthi hai aur aag ka prabandh vishesh rup se karne lagte hai. Hemant ritu mein jab varsha ho jaati hai tab sardi aur bhi bad jaati hai. Hemant mein prayah sabhi jagah dhundh chhayi rehti hai. Is kaal mein parvaton par himpat hota hai. Christmas ka tyohar hemant ritu mein manaya jaata hai. Makar sankranti tyohaar se shishir ritu ka aarambh hota hai. Pedon aur belon se patte jadne lagte hai. Yahin se vanaspatiyon mein naye ras ka sanchar hone lagta hai. Is prakar che rituen aati hai aur apni apni nirali chata se praniyon ko jeevni shakti pradhan kar jaati hai.
Answered by bhatiamona
16

भारत 6  ऋतुओं  है.

सब ऋतुओं के मोसम का अलग अलग मज़ा है

भारत मैं 6 प्रकार की ऋतुएँ होती है.

बसंत ऋतु: बसंत ऋतु मैं चारों तरफ़ हरियाली दिखाई होती, इस ऋतु मैं हवाएं चलती है.

ग्रीष्म ऋतु: ग्रीष्म ऋतु मैं बहुत गर्मी होती है, लोगो का घर से बहार निकलना मुश्किल हो जाता है.  

वर्षा ऋतु: वर्षा ऋतु मैं हम बारिश की बूंदों का मज़ा लेते है इस मोसम मैं बरिशे होती है.

शरद ऋतु: शरद ऋतु मैं आसमान साफ होता है न ज्यादा ठण्ड होती ना ज्यादा गर्मी होती है.

हेमंत ऋतु: हेमंत ऋतु मै जब बारिश होती है उसके बाद धुन्द रहती है. और पहाड़ी इलाको मै हिमपात होता है.  

शीत ऋतु: शीत ऋतु मैं बहुत ठण्ड होती है इस ऋतु मै मज़ा आता है ठण्ड मै गर्म खाने पिने का. गर्म कपड़े पहनने का.


Similar questions