explaination of the poem madhur madhur mere deepak jal
Answers
Answered by
2
Madhur madhur mere Deepak jal kavita me mahadevi ji ko apne ishwar per apar vishwas avam shraddha hai isi vishwas aur shraddha ke sahare ve apne ishwar ke bhakti me leen hona chahti hai unhe swyam se bahut apekshaye hai wah apne kartavyo ko samjhate hue swaym ko jalane ke liye taiyar hai kyunki wo janti hai ki is sansar ka kalian unke jalne me hi hai yadi weh chahti hai ki sansar ke sabhi prani is marg ka anusharan kre to unhe khud ko jalana hi hoga is kavita me swyahit ke jagah per lokhit ko adhik mahatwa diya gya hai kaviytri apne Deepak se prarthana krti hai ki wo niranter her paristhiti me jalta hi rhe kyunki uske jalne se taro roopi sansar ko rahat milegi unke anushar logo ke ander bhagwan ko lekar vishwas dhundhla rha hai thoda sa kast aane per wo presan ho jate hai atah tera jalna ati awsyak hai tujhe jalta dekh unka vishwas bna rahega unke anushar ek ashtha ke Deepak se 100 anya deepako ko prakash milta rahega
Similar questions