feeling motiveless ,need of motivation in life ,need a small push in life
Answers
Jab bhi koyi vyakti, gari ke pichle vale seat par, passenger ke roop me baithta hai, tab vo kayi prakar ke kareya kar sakta hai; phone par baat kar sakta hai, message check kar sakta hai, bagal vale vyakti se baat kar sakta hai,bahar gariyo Ko dekh sakta hai , aadi. Par, jo driver hai, (Chalak) vo yanha-vanha nehi dekh sakta, vo phone me baat nehi kar sakta..Kyo??..kyoki agar driver distract ho jaye (Vichlit), to baat ek hi hoti hai, Accident (Apghat). Usi prakar se, yadi ham jivan ke yatra me bhi vichlit ho jaye, to ham jo pana chahte hai, vo kabhi nehi payenge. Aur yadi ham vichlit nehi hona chahte, to hame DRIVER (CHALAK) ki bhumika nibhani padhegi. Jab tak ham passenger ki bhumika nibhayenge, tab tak ham vichlit rahenge, apne sabhando (relationships) me vichlit rahenge, Apne kam-kaj va dayenandin (work and daily duties) me vichlit rahenge, apne adhyatmik jivan (spiritual life) me vichlit rahenge, apne niji jivan va mansik santulan (personal life and mental stability) me vichlit rahenge. Yadi hame apne jivan me kuch hasil karna ho aur apne manzil tak pohochna ho to hame jivan me DRIVER (CHALAK) ki bhumika nibhani hogi, hame apne yatra ka CHARGE lena padhega. Kanhi baar to ham phone Ko charge kar dete hai par apne JIVAN KO CHARGE karna bhul jate hai, kanhi baar ham laptop Ko to charge kar dete hai, par ham Apne jivan ke yatra ka INCHARGE BAN NA bhul jate hai. Aur isiliye, agar apne jivan me agge badhna chahte ho to CHARGE lena sikho. Passenger ki bhumika bhul jao, aur DRIVER ki bhumika Ko swikar karo, focus karna shuru karo, concentrate karna sikho, aur jaise hi yeh palan karna shuru karoge to Yash (success) nishchit roop se apke charano me as jayega...
⏩And yeah always remember this:-
AN ARROW CAN ONLY BE SHOT BY PULLING IT BACKWARD. LIKEWISE, WHEN LIFE IS DRAGGING YOU BACK WITH DIFFICULTIES, IT MEANS, IT'S GONNA LAUNCH YOU INTO SOMETHING GREAT. SO JUST, FOCUS AND KEEP AIMING!!
-SRIPURNA...:-)