five lines about diyas in hindi
Answers
Essay on diya in Hindi
Diya achhayi ka ek Pratik hai . Diya andhere par parakash ki vijaya ka bhav hai . Kahate hai ki jab Raja Ram ,Rawan ko maar kar Sita mata ke saath paap ki lanka raakh kr ke aayodhya loute the to poore aayodhya waasiyo ne unki aane ki khushi aur ullaas mai ghee ke diye jalaye the .
Diya kumaar ki jeevan jeene ki ajivika hai . Diya batata hai ki kis tarah ek mitti ka lothaa sundar sa aakaar le sakta hai .
Aise hum bhi jeevan ki muskilo ka saamna kr ke savyam ko ek naye rang mai dhal sakte hai jiksa kuch sresth uddhyeshya ho .Log janam din par yaa tusli pooja mai humesha ghee ke diye jalate hai . Diye sabhi dhatuo se bane hue milte hai . lekin mitti ka diya sresth mana gya hai . Diwali par sab log diyo se ghar ka kona kona roahan krte hai .laxmi ke aane ki khushi mai poori ghar prakashmaan kr dete hai . Diya ek sudhaata aur imaandaari ka Pratik hai .