Hindi, asked by vyamivishit9r, 1 year ago

Guru kumhar siis kumbh h doha meaning on hindi

Answers

Answered by asish175
10
prastut dohe ka arth is prakar hai-
kabir das ji kehte hai ki guru kumhar ki tarah hai aur shishya ghade(kumbh) ki tarah hai. Jis prakar kumhar chaak par mitti rakhkar use ghade ka rup dete samay ek haath se bahar se thapthapata hai arthat chot deta hai toh dusre haath se usse bhitar shrestha rup pradan karta hai, thik ussi prakar guru bhi apne shishya ko jahan ek man se kathor anushasan me rakhkar ya bandhkar uski galtiyon par dand deta hai toh dusri oor apne man me uske prati prem ka bhav rakhte hue uski buraiyon ko dur kar uske vyaktitv ka nirman bhi karta hai.
Similar questions