Hame pani bachaane ke liye kya chhote chhote kaam karna chahiye
Answers
Here is your answer - -
हम पानी बचाने की शुरुआत अपने घर से ही कर सकते हैं । पानी बचाने के लिए हमे छोटे छोटे बिंदु पर भी ध्यान रखना होगा जो निम्न लिखित है -
1- हमे ब्रश करते समय मग में पानी लेना चाहिए , ना कि सिंक की टोटी खुली रखनी चाहिए ।
2 - हमें गाड़ी धुलाई के समय बाल्टी का प्रयोग करना चाहिए ।
3 - हमे नहाते समय शावर का उपयोग कर साबुन लगाते समय उसे बंद कर देना चाहिए ।
4 - हमे अपने छतों पर वर्षा के जल को सनरक्षित करने के उपाय करने चाहिए ।
5 - हमे जितनी प्यास लगी हो उतना पानी लेना चाहिए ।
प्रिय मित्र यदि हम यह बिंदु ही अनुसरण करते रहेंगे , तो हम निश्चित तौर पर आने वाले समय में पानी की बहुत ज्यादा मात्रा को बचा सकते हैं ।
Thanks ;) ☺☺☺☺☺☺☺
Zindagi aur sehat ko barqarar rakhne ke liye hawa ke bad sab se zarori chez pani (water) hai, tandurasti ko qaem rakhne ke liye humein pak-o-saf hawa ki tarha khalis aur pakeza pani ki bhi zarorat hai, jis tarha ghalez hawa mein sans lene se hum bimar par jate hein, esi tarha ganda aur kasef pani (water) pine se bhi humari tandurasti bigar jati hai. Mede aur anton ki mukhtalif bimariyan peda ho jati hein. Bad-hazmi ho jati ha, dast aane lagte hein, pechish ho jati hai baz auqat pani mein khatarnak aur mohal-liq wabai amraz ke jarasim ki amezish hoti hai kasif pani pine se insan typhoid aur hezy jese mozi amraz mein griftar ho jata hai.
Khalis aur pakiza pani maqa-e-hayat ke liye aik nehayat zarori chez hai agar pani mein bazat-e-khud koi ghizaiyat nahi magr yeh humari ghiza aur khon ka zarori juz hai. Yeh humari jism ki banawat mein 70% ke qareb paya jata hai.
Pani ka estamal dosri ghizaon ke sath es liye zarori hai ke yeh ghiza ko raqeq bana kar hazm ke qabil banata hai, aur inhein siyal shakal mein rakhta hai. Yeh dosry ghizai ajza ko barik ragon mein pohcha deta hai, yeh fazlat ko pasine aur pishab ke raste kharij hone mein saholat bakhshta hai. Apni thandak se jism ki hidat ko tasken bakhsta hai, esi ki wajha se khon ka doran qaem hai aur humare hisyat-o-khayalat bijli ki tarha harkat karte rehte hein.
Pani ke tasir sard tar hai. Yeh piyas ko bujhata, behoshi, thakawat, hichki, qey aur qabz ko dor karta hai, yarqan aur pishab ki jalan mein muffed hai. Jism ke zehron ko pishab aur pasine ke raste kharij karta hai, khorak ke hazam karne mein madad deta hai aur khon ko gadha ya kharab hone se mehfoz rakhta hai.
Pani humesh saf suthra aur mail kuchel se pak pina chahiye. Khana khane ke doran mein bohat kum maqdar mein pina chahiye, khan eke 1 ya 2 ghanta bad kafi maqdar mein pi sakte hein, subha nehar moun pani pina behad muffed hai. Tabib aur doctor dono es amar per mutafiq hein ke subha khali pait pani pina kai bimariyon se mehfoz rakhta hai. khan eke darmiya mamoli maqdar mein aur khane ke 1 ya 2 ghanta bad kafi maqdar mein pani pina hazm ke faal ko qawi karta hai aur es tarha ghiza ke taqat-bakhs ajza ba-khobi juzo badan ho kar sehat ko barqarar rakhte hein.