hindi essay on ''sangarsh hi jeevan hai''
Answers
jeewan sangharsh ka hi naam hai
Jeevan sangharsh ka hi naam hai kyuki sangharsh se lad ke aage badhna hi jeevan ka kaam hai . Iss mai koi baat nhi ki hume har pal sangharsho se saamna krna padta hai . Kyuki ye sangharsh aur unpe jeet hi hume sadev aage badhne ki prerana aur sahas deti hai .Bhachpan mai pahli bar bina sahare chalne aur girne phir uth kar sambhal kr chalene ki jo baat hai wo jeevan bhar humaare saath rahti hai .kyuki wo hi hume batati hai ki agar uthe nhi to chal nhi paaoge aur agar chal nhi paaye to aaage badhne ki khushi kaise hogi . Isliye Jeevan jarur ek sangharsh hai lekin inse nipat par ke chalte aur badhte rahna hi jeevan hai . Bina thake aur haare hum jo chahte hai rhe to manjil door nhi kabhi bhi .ye sangharsh hi batate hai ki safalta kitni sundar aur mithi hoti hai .Jitna bada sangharsh utni badi jeet aur utni hi khushi . Jo khiladi jitni mehnaat krta hai use apni jeet par utni hi khushi hoti hai kyuki use pata hai usne kitna paseena bahaya tha teyaari mai .Takleef batati hai ki jeet kitni aavshyak hai . Isiliye kaha gya hai
“Wo path kya, wo pathik kushalta kya jab raste anukool naa ho !
Wo naav kya aur navik kushalta kya jab dhaaraye pratikool naa ho !!”