Hindi, asked by aroraritu93, 1 year ago

hindi poem on suraj chand sitare and rain

Answers

Answered by GauravJangra
10
Suraj, chaand sitaare tujh mein,
sarv brahmaand samaayein tujh mein.


tu vistrit, tu sabse vishal hai,
tu sach mein hi bemisaal hai.


tu sarvochch iss jag ki chhat hai,
tujh sa na koi iss jag mein hai.
suraj hai prakaashit tujh mein,
chaand sitaare chamake tujh mein.


laakhon taare jagmag karte,
aur andhera jag ka harate.
tera vistrit roop niraala,
din mein neela, raat mein kaala.
Answered by Apoorva17
15
suraj ki roshni din ko jagmagaye
raat to chaand hame sulae 
sitare tim tim chamke hain
prakriti kitni sunder hai

jab baarish mein chap-chap karte
kitna sukun milta hai 
jab thandi hawaen paas mandraen
suraj, chand, taare aur baarish 
hamari prakriti ke khoobsurat tohfe

Dil ko sukun dete hain ye
hamari prakriti ke ajube!

Apoorva17: mark my answer the best plzzz.plzz
Similar questions