Hindi, asked by Ritika237, 1 year ago

hindi prativedan on gandhi jayanti celebation in school

Answers

Answered by joe30
1
Mere pyaare mitron, aap sabhi ka abhivaadan. Aaj mai atyant prafullit hun kyunki aisa awsar sabhi ko nhi milta. Mai bada hi kismat wala hun jo ki bharat ke Rashtra Pita Mohandas Karam Chand Gandhi ji ke janam divas par unke baare me kuch vyaakhya kr rha hun. Gandhi ji hamesha se hi Ahimsa or satyavadi raah ke apnane ki anugrah krte hain. Inka maanna tha ki jo kaam goli ya bandook nhi kr sakti wo sirf meethi boli kr skti hai. Apne dayaalupan, aadar or prem bhaav ki wajah se log inhe bhot pyaar krte the or pyaar se Baapu kehte the.
Mahatma Gandhi ka janam 2 October 1869 ko Porbandar jila, Gujarat Rajya me hua. Bachpan ki padhaai puri krne ke baad Gandhi ji Kaanun (Law) ki padhaai krne UK chale gye. Uske baad Barister bankar South Africa me kuch samay ke liye waqalat bhi kiya. Uske baad ye Bhaarat aa gye or apne seekhe hue gunon ke upyog krke Bharat ko ek Aazad Desh Banane me Madad ki. Inhone British angrezon ke khilaaf aawazen uthaai or unhe Bhaarat chodne pe majboor kiya. Ant me Jan 1948 me Nathuram Godse ne inko goli maar ke Hatya kr di. Inka hamesha se ek vachan rha “Raghupati Raghav Raja Ram, Patit Paavan Sita Raam”
Raaj Ghaat New Delhi jahan inki samaadhi hai wahan aaj inhe aadar ya pyaar dete hain. Inhe log yaad krte hain or inki ki hui gaatha apne bachon ya aane wali peedhee ko sunaate hain.

Ritika237: thank u so much
joe30: you're welcome :)
Similar questions