I need a dialogue writing in hindi between parents and teacher about bringing phone to school?
Answers
Parents:Goodmoning Mam.
Teacher:Goodmorning.Kya Aap dono hi Gopu ke mummy papa hain.
Parents:Ji mam hum hi hain.Kripya btayein aapne humein kyu bulaya hai.
Gopu to roz school aata hai aur uske marks bhi theek hain.
Teacher:Nhi aisi baat nhi hai per kuch bohot zaruri baat hai jo aapke liye jaana zaruri hai.
Parents:Acha.
Teacher:Dekhiye kal maine aapke bete ko class ke samay mobile
per baat kerte suna hai,ye school ke niyamon ke khilaaf hai.Kya aap is baare main jaante hain.
Gopu ki mummy:Haan wo mobile school lata hai per wo uski suraksha ke hi liye hai taaki humein pta ho ki wo kahan hai aur ghar kitni der main aayega.
Teacher:Aapki baat sahi hai aajkal mobile zaruri hai per classes shuru hone ke baad bachon ko mobile switch off rakhna chahiye.Is baare main aapko Gopu ko samjhana chahiye ki wo school main enter hone ke baad mobile ko switch off rakhe.School ki chutti hone ke baad mobile on ke sakta hai.
Gopu ke papa:Mam aapki baat bilkul sahi hai hum Gopu ko ache se samjhayenge aur aapko dobara koi pareshaani nhi hogi.