Hindi, asked by rajatipa3teecutyspo, 1 year ago

I want a paragraph in Hindi on pathshala ki prarthana sabha

Answers

Answered by monu7bishnoi
1

pathshala ki prarthana sabha

 

Naye Shiksha Satra ka pahla din  tha . Sabhi purane aur naye chhatra apni  apni kaksha ki pankti mai khade the . Sabse kam lambai wala vidhyarthi sabse aage tha . baki uske peeche kram se khade the har pankti mai . Bahut sundar lag raha tha . Sab nayi ganvesh  mai aur sabke chamkte kale joote the . manbhav lag raha tha . School ka Maidaan  aur Saamne Cement se bana hua   manch tha . Uspe laal rang ki Kaleen bichaayi hui thi . Manch par Pradhanacharya , Saabhi Adhyapak gan aur kuch vidhyarthiyo ki mandli thi  .Aur kuch vaadhya yantra bhi the jaise harmonium  aur kartal. Mike aur loudspeaker bhi lage hue tha . Sabse pahle pradhanacharyaji ne deep prajavalit kiya .sabne Sarsavati Vandana se prarthana sabha ki suruaat ki . Phir Bharat mata ki vandana . Phir Maheene ka deshbhakti geet . “Sangathan gadhe chalo , supanth par badhe chalo ”. Geet sangeet ke saath bahut ojsavi aur veer bhav se bhara lag raha tah . Phir Aj ke mukhya samachaar sunaye gye 10th kaksha ke nayak davara . Ant mai sabne Dhyaan Yog kiya aur khade hokar Rastra Geet aagaya . Humare kaksha adhyaapak ji ne anusashan par 5 minute ka vyakhaan sunaya . kis prakaar vidhyarthi jeevan mai anusashaan avsyak aur maahtavpuran hai . Sabne KartalDhavni se harsh aur aabhaar jataya aur apni Apni kakshao ki taraf anushasan se bina shor machaye badne lage . 

Similar questions