I want an essay on Dahej pratha ek abhishap in hindi.Can anyone help me?
Answers
Dahej Pratha :Ek Abhishap
Bahut durbhagyapooran baat hai ki desh ko aajad hue 50 saal se bhi jayda ho gye hai . Lekin kuch bahut hi shramnaak aur ajeeb si prathaaye aaj bhi hamare samaaj mai vyaapt hai . Jaise Bal –Vivah , Kanya Bhurun Hatya, Balika Asiksha ,Dahej Pratha aur Vidhva –Vivah .Ye achhi baat hai ek ki Sati pratha jad se sampt ho gyi hai . Ye sab baate samaj ka aaina dikhati hai ki hum chaad par to pahuch gye lekin ghar ke aangan mai aaj bhi kuritiyo aur agyaanta ka andhera hai .
Agar baat kare Dehej Pratha ki to Aadikaal mai jab Saadi ya vivah hota tha to Ladki wale apni khushi se nav –vivahit yugal ko kuch uphaar dete the . jo unke naye ghar mai kaam aate the . Jaise rasoi ka samaan aur Gai ya koi bhi paltu janwar . jis se unhe jeevan nirwah mai madad mil sake .Kyuki Ladke walo ke pass khet hote the . Agar ladka alag hona chahta hai saadi ke baad to ladke wale jameed aur jydaad uske hisske use dete the aur ladki wale ghar chalane ka saman jo ki unke naye jeevan mai kaam aa sake.Ladka khet mai kaam karega aur ladki ghar sambhaalegi .Iss tarh sab kuch thik chalta raha. Lekin badale samay aur logo ki mansikta ke saath ye bate bhi badal gyi .Ab wo Ladak walo ka uphaar lene ka tareeka lalch mai badal gya aur baate maagne par aa gyi .Log Lakho rupye maangne lag gye ,Jaise ki wo sambe wale ki beti ki suraksha ka mulya maang rahe hai .YE dahej ka divan naa jaane kitni betiyo ko maao ke pet mai hi khaa gya . Kyuki log beti ko bojh samajne lag gye .Unhe laga ki 25 saal baad to ye ghar se jaayegi aur paise bhi deneg honge aangan se vida krne ke . Isthti bahut hraday vidaraak lagti hai soch ke bhi . Jab ki samaj ko ye samjna chahiye ki agar ek padi likhi aur gunwaan beti bahu ke roop mai milti hai to wo sabse bada uphaar hai .Ghar mai laxmi apne aap aa jayegi . Ye srav stya hai .Lekin logo to wo sone ka andaa dene wali murgi lagti hai . kabhi kabhi kuch maar bhi dete hai ki saara dhan pahle hi le liya jaaye ye soch ke . Agar kisi ki ekloti santaan agar Beti hi hai to bhi log ye baate nahi samjte aur apni murakha par utar aate hai . Ghnoni baat ye hai ki ab ye sampan pariwaro mai jayda hota hai . Kyuki ek gareeb dusre ki gareeb sayad samjhta hai . Lekin ameero ki bhookh kabhi nhi mit ti . Bete beti ke antar ko bhool kar agar log ye samjhe ki Padhi likhi , gunwaan aur samjhdaar , jo kutumb ko sambhal sake aisi beti agar bahu ke roop mai mil rhi hai to lalach tyag kar apne bête ko ko kabil banaye ki dono ka jeevan smridhi aur sukh saanti se chal sake naa ki dahej ke danav ki bhent chad jaaye . YE ab bahut gambhir vishya ban chukka hai aaj jamane ka. Naa to beti wale kisi pe dahej mangne ka jhooth aarop laagye naa ladke wale kisi ki beti ko chand paiso keliye sataye . kyuki inn jhooth aur baimaaniyo se jalta aur tootta sirf samaaj aur masoom pariwaar hai . Desh aur bachho ka bhavishya to naa jaane kis kaal khothri mai dab jata hai . Is liye Dahej ko na kahe ,YE bhi ek rishwat hi hai atah Naa le aur Naa de .