I want hindi essay on bina vichare jo kare so pache pachtaye
Answers
jivan mein hamen har kaam soch samajh ke krna chahiye. kaha jata hai ki hamari paanchon indriya - dekhna, sunna, aadi ek rath ke ghodon ke saman hain aur hamari buddhi sarathi hai. indriyan hamesha baahar ki or jane ke liye utsukt rahti hain. aankhen jo bhi dekhti hain ya kaan jo bhi sunte hain hamara man unki or daudta hai, use prapt krne ki koshish krta hai. aise mein hamari buddhi unhen sahi raste pr le jati hai.
isliye har kaam buddhi ke sath samajhdari se krna chahiye. is vishay mein ek kahani yaad aati hai. radhika ek bahut pyari ladki thi. pr vah badi chanchal thi. uski ma use hamesha samjhati thiin ki koi bhi nirnay lene se phle das tk gino, fir agr thik lage tb karo.
ek din radhika apni saheliyon ke sath baag mein khel rahi thi. ek saheli ne kaha, "yahan to hmlog roz khelte hain, kyon na aaj ham pas ki nahar pr khelne jayen". ve sb nahar pr khelne lagin.
khelte khelte galti se unka gend pani mein chala gaya. apni saheliyon ke biich mein apne ko sarvshresht siddh krne ke liye radhika jaldi se boli, "main ek minute mein gend vapas lakar dikhati hoon." yh kahkar vah pani mein kuud gayi. aise to nahar jyada gahri nahi thi aur vah gend asani se la skti thi.
parantu us din pani ka pravah kuch tez tha aur gend bahkar duur jane laga. radhika ko pata nahi chala aur vah pani mein gend ka pichha krte hue kafi duur chali gayi. usne gend pakad liya aur vapas aa rahi thi. uski saheliyan khushi se taliyan baja rahin thin. vah bhi bahut khush thi.
kinare pahunchkar pani se nikalte smy uska dhyan bat gaya aur vah fisal gayi. pas mein ek patthar tha usse uska sir lad gaya. vah behosh ho gayi.
agle din ghar mein jb vah uthi usne apni ma se kaha, "aap thik kahti hain, bina soche kaam krne se piche pachtana padta hai".