I want interview of teacher in hindi pls
Answers
Interview of teacher
Pratibha (Head Student): Adarniya Abhibhavaakgan , sikshak mohodyaa , Pracharyaji aur sabhi pare bachho aj humare saath ha Rastrapati puraskaar se sammanit aachaarya Shri Ramakant ji Ved .
Aj hum unse unke unke ab tak sikha setra ke yog daan ko jaanege .
Pratibha : Ramkant ji aacharya apko apne 25 saal ke siksha ke setra mai yogdaan hetu bahut saa danyaawaad aur Rastrapati puruskaar samman ke liye dhero badhaaiya !
RK Ved: Danyawaad
Partibha: apko 25 saal ke iss anubhav se kaisa lag raha hai ?
RK Ved : muje achha lag raha hai aura b iss samman ke baad aur bhi jimmedaari bad gayi hai . Main aur bhi vidhyarthiyo ka maargdarshan kru aur samaj mai aasiksha aur kuriti ko hatane mai main apna prayas krta rahu .
Pratibha : Apka Aj ki peedhi ke vidharthiyo hetu kya sandesh hai ?
RK Ved : Muje lagata hai ki aaj ke vidharthi sirf kitaabi gyan naa le . wo apne gyan aur vivek ko rojgaar mai badalne ki koshis kre . Sabhi bade log asikha ka andhkaar door krne mai sab apna yogdaan de .
Pratibha : Apke hisaab se vartmaan siksha paranali sahi yaa kuch badlaav ki jarurat hai .
RK Ved : Muje lagata hai ki hume aur parayogik hona chahiye . Sarkaar ko danyawaad hai ki unhone siksha ka adhikaar dilaaya sabko . Jo ki bahut badi baat hai .
Pratibha : Ap abhibhavko ko kya kahna chahenge ? unhe apne bachho ke saath padhaayi aur rojgaar hetu kaisa vavaahaar krna chahiye ?
RK Ved : main ye kahuga ki wo bachho par jayd adabaab nhi dale . Sabka alag alag dimaag hota hai aur kaabiliyat hoti hai . Jis mai balak ki ruche ho usmai prohatsaan kre . Pariksha mai anko ke liye jor naa dale . Unhe apni savabhavik partibha dikhane ka mouka d e.
Pratibha : Bahut danyawaad aacharya ji apke vichaar aur maargdarshan hetu . Muje umeed hai ki sako aj kuch seekhne ko mila hoga !!