interview hona mujhe samajh nai ara
Answers
Explanation:
thanks for free points
Answer:
Interview kya hai?
Kisi bhi job ko paane ke liye sabse zaruri hai interview clear karna. Toh sabse pehle janenge ki aakhir interview ka matlab kya hota hai?
Naukri dene wale aur naukri khojne walo ke beech mein formal baat-cheet ko ‘Interview’ kehte hai. . Job interview lene walo ko ‘Interviewer’ ya ‘Recruiter’ bolte hai aur interview dene walo ko ‘Interviewee’ bolte hai.
Interviewer interviewee se unke baare mein kuch sawaal karte hai jaise ki self introduction, education, interest, job aur career related. Interview mein zyadatar job aur career se related hi sawal pooche jaate hai. Iss article mein aap janenge ki Job interview kitne prakar ke hote hai aur usmein kya karna chahiye aur kya nahi. Interview hota kya hai iske baare mein toh aap upar jaan hi chuke hai.
Interview tips ke alawa aap ye bhi janna chahenge ke interview ki taiyyari kaise karein. Niche click karke jane ke kaise karein interview ki puri taiyyari –
Interview ki taiyyari karein
Interview kitne type ke hote hai?
Interview waise toh bahut type ke hote hai lekin sabse popular 2 type ke hi maane jaate hai:
1.Telephonic Interview
2.Face to Face Interview
Telephonic Interview
Telephonic interview ka matlab hota hai phone ya mobile ke through interview hona. Aajkal companies candidates ko face to face interview par bulane se pehle unka telephonic interview leti hai. Ye sabse pehla interaction hota hai interviewer aur interviewee ke beech mein.
Telephonic interview employer aur candidates ke liye interview process ko aasan kar deta hai aur iske kaafi phaayade bhi hote hai. Ye dono ke liye cost saving aur time saving hota hai. Telephonic interview face to face interview se kam time mein ho jaata hai aur iske liye kahi jaana bhi nahi padhta hai.
Telephonic Interview Tips
Telephonic interview ko face to face interview ki tarah hi seriously le. Yaad rakhe telephonic interview mein candidates ka screening hota hai aur jo candidates ismein accha perform nahi karte unhe interview process se eliminate kar diya jata hai, toh iss ke liye acche se prepare karein.
Interview tips jinpar khaas dhyan dene se aap telephonic interview ko pass kar sakte hai:
tips for successful telephonic interview in hindi
1.Phone ko full charge karle, phone ko network area mein rakhein aur phone ka volume tez rakhein. Interview ke time ka reminder/alarm pehle se hi set karle taaki aap interview ka time na bhulein.
2.Interview dene ke liye Headphones ka use karein.
3.Telephonic interview ke liye ek shaant aur acchi jagah chunen. Generally companies pehle se hi telephonic interview ki timings bata deti hai. Isliye interview ke liye ek shaant room pehle hi chunle taaki interview ke dauraan koi shor na ho. Pehle hi TV, Radio ko band karde aur ghar mein agar bacche hai toh unko dur le jaye. Interview ke dauraan room ko andar se lock karle aur ghar mein sabko bata de ki interview ke duraan koi aapko disturb na karein. Agar aap interview ke timings ke duraan ghar pe nahi hai toh ek shaant jagah dekhe jaha zayda log na ho aur shor na ho.
what to keep in a telephonic interview
4. Interview ke time apne CV/resume ki hardcopy aur notes likhne ke liye pen aur notebook samne rakhe.
5. Agar interview ke dauraan aapka call kat jaaye toh turant aap call back karein.
6.Agar aapko interview ke beech mein dusra call aa raha ho toh uss call ko na uthaye.
7.Telephonic interview mein smile karte hue, calm aur bina chilaye baat karein. Apni tone ko balanced rakhe. Baat karte hue Ok, Yes Sir/Madam jaise words use kare taaki interviewer ko pata rahe ki aap dhang se baat sun rahe ho.