जीने की कला
Analytical skills
1. माता-पिता बच्चों को क्यों डाँटते-फटकारते हैं? paragaph me ans.
Answers
Answer:
Gurur Brahma Gurur Vishnu
Gurur Devo Maheshwar
Gurur Sakshat Param Brahma
Tasmai Shree Guru Ve Namah
Jeevan anant h. Jab kisi parivar me navjaat ka aagman hota h to sabhi ki us navjaat se aasae evam apekshae hoti h is Karan mata pita use uchh shiksha pradaan karne ka sambhav prayas karte h, use sahi galat ka parichay karate h, use safalta asafalta ke baare mein bataate h evam uske avgudo ko gudo mein parivartit karne ka sambhav prayas karte h jis kaaran ve kabhi kabhi bachho ko daant bhi dete h parantu iska arth ye nahi ki mata pita unse prem nahi karte.
Guru Gobind dou khade
kaale lagu pae
balihari guru apno
jin Gobind dio batae
Mata pita hamare guru saman h jo kbhi hamara ahit nhi chahte.Unhone ghaat ghaat ka paani piya hota h islie unhe duniyadari ki samajh bachho se adhik hoti h evam ve bachho ko islie daante h ki unka bachha unki ki hui galti ko na dohrae. Jis prakar kumhaar mitti ke geele bartan ko hi aakar de sakta h usi prakar mata pita hame bachpan mein achhe sanskar dekar hame aakar dete h evam hame unnati ki or agrasar karte h. Bachho ko kabhi bhi mata pita ki baat ka bura nhi maanna chahiye kyoki jis pathar ne chaini hatori ki chhot seh li use mandir me ishwar ke samaan puja gaya. Mata pita ye bhali bhati samajhte h ki sansaar mein roop rang ka koi mahatva nahi mahatva h to sirf gudo ka is Karan ve hame hamara aatmavishleshar karate h parantu kuch bachhe use daant samajh baithte h. Jis prakar paani rakhhe hue bartan ka aakar le leta h usi prakar jo mata pita bachhe ko bachpan mein jaise sanskar de dete h bachha usi mein dhal jata h warna Gandhi ji bhi apna sulekh sudharne ka poorna prayas karte rahe parantu ant tak sudhar na sake kyoki ve pake hue ghare mein dobaara mitti lagane ka prayaas kar rahe the.