ज्ञान विज्ञान के क्षेत्र में कर्नाटक की प्रगति का वर्णन कीजिए
Answers
karnataka shiksha ke kshetr mein bahut abhivruddhisheel rajya hai. karnataka mein shiksha ko anek shatamano se mahatva diya gaya hai. iss dharti par basaveshwar, madhvacharya,purandardas jaise mahan santo ne apni shiksha ka prabhav chhoda hai. ranna,Janna,ponna aur pampa jaise mahan kaviyo ne apna gyaan ka sagar biched diya hai. Karnataka , Bharat ki pehla rajya hai jisne adhunik tantragnyaan (IT) kshetra par jor diya tha. Poore desh mein sabse zyaada college ki sankhya mein Bengaluru avval darje mein hai. iss rajya mein vigyaan ki kshetra pe bahut zor diya gaya hai tabhi toh Bharat Ratna C.N.R Rao jaise mahan vaigyanik yah se nikale hai. aur toh aur ISRO ki mukhya kacheri bhi Bengaluru mein hai,jo darshata yaha ki shaikshanik abhivruddhi ko. Iss rajya mein desh ka ekaik Janapad Vishvavidyalay ( folklore university). yaha Kle,jain,alvas,rotary, aur anek sansthauon ne shiksha ke darwaaze ko khol rakha hai.
(also I am from Karnataka. if you got the answer right. Then mark me as brainliest. whoever are influenced can follow me)