Hindi, asked by rajeshkumar940092, 4 months ago

'Jeevan me anushaasan ka mahatv' Explain? ​

Answers

Answered by Brilliany
1

Answer:

'ANU' ka arth PAALAN aur 'Shashan' ka arth NIYAM...Matlab Niyam ka paalan

Explanation:

Anushashan jeevan mai bahot mahatva rakhta hai, Aur jeevan ke har Kaarya mai iski zarurat hoti hai. Anushashan vyakti ke jeevan mai mahtvapurna sthaan rakhta hai. Anushaahit vyakti Agyaakari hota hai aur uske paas uchit Vyavhaar hota hai. Hmare jeevan mai iska yeh mahatva hai ki yeh hame niyamo ka paalan krna sikhata hai. Manushaya ek samaajik vyakti hai jo samaaj mai rehta hai aur usme rehne ke liye Anushashan ki Aavshyakta hoti hai. Prakruti bhi sabhi kaarya anushashan mai hi krti hai, surya uday bhi samay pr hota hai aur Asth bhi. Anushashan ka vidhyarthi jeevan mai bahot hi zyada mahatva hota hai, kyuki yeh jeevan ka voh padaav hai jisme hum jo kuch sikhte hai... voh hmare saath hamesha rehta hai. Anushashan ke andar- BADO KA AADAR, CHOTO SE PYAAR, NIYAM KA PAALAN, SAMAY KA PAALAN, aur ADHYAPAKO KA ANUSARAN..ye sab aata hai. Jab koi vyakti har kaam Samay se krega, Vyavasthit tarike se karega to safaltaa avashyaa hi uske kadam chumegi.

AASHA HAI KI YEH AAPKE KAAM AAYEGA

Similar questions