Jeevan me khel kood ka mahatva
Answers
Khelo ka mahatva manav jeevan ki saflta ke 3 shaktiyo ke vikas ki avsykta hai manshik aatmik aur sharirik in 3 shaktiyo ke vikas ke liye vicharako ne alag alag upay btaye hai
aur kha jata hai swasthya sharir me hi swasthya mastisk ka niwas hota hai khel sarir ko hast pust aur sunder bnane ka sadhan hai jeevan me swasthya ka bhut mahatva hai aur swasthya ke liye khelo ka apna bhut mahatva hai jab khiladi maidan me khelne utarta hai to uska rom rom pulkit ho uthata hai khel me bhasa ke nam per bhed bhav nahi hota khel ko sirf manornjan tak hi simit nahi rakhna chahiye balki ek lakshya bna lene se nischit hi saflta milti hai jeevan me khelo ka bhut mahatva hota hai isliye har vyakti ko kisi na kisi khel me bhag zaroor lena chahiye her khel ka apne apna mahatva hota hai khas ker vidyarthiyo ko shiksha ke sath sath khelo me bhi bhag lena avasyak hai log kehte hai ki kheloge kudoge to banoge kharab aur padhoge likhoge to banoge nawab ye galat hai hame padhne ke liye mastishak ki zaroorat j=hai aur swasthya mastishak khelo se hi hota hai khelne se samay ki barbadi nahi hoti khelo se anushasan bhi ata hai isliye khelne bhi zaroori hai