Hindi, asked by neelam4450, 6 months ago

कोरोना के बढ़ते संक्रमण पर चिंता व्यक्त करते हुए दो मित्रों के बीच संवाद लिखिए​

Answers

Answered by gr8hs32gmailcom
4

Answer:

friend: kya tumhe pata chala ke sheher me corona se kafi log bimar pad rahe hain!

me: han mujhe pata hai ajkal isi ki charcha hai.

friend: kya corona bhot khatarnak bimari hai?

me: nahi. par yeh ek virus se failti hai. or uske bachav se hum khud ko surakshit rakh sakte hai!

friend: acha . wo kaise?

me: corona virus se hota hai. to agar apna hanth ko saaf rakha jae or corona sankramit logo se door raha jae to hi hum isse bach sakte hai.

friend: par fir bhi isse kafi log ki mrityu ho chuki hai. wo apna bachav kar rahe hai fir bhot bhot sare insan isse mare ja rahe hai.

me : han ye chinta ka vishay to hai qki ye janlewa hai to logo ko zyda sawdhan rehna chaiye.

friend: par kitna bhi sawdhani rakh lo fir bhi sheher me isse marne walo ki sankhya badhti hi ja ri hai. tumhe kya lagta hai kab tak chalega ese?

me: esa sirf tab tak hai jab tak iski koi vaccine nahi aa jati ek baar vaccine a jane par hu. sabhi ko isse chutkara mil jaega. or hum sab nishchit ho jaengy.

friend : sahi kaha pr hume saaf safai ka dhyan rakhna nahi bhulna chiye chahe kuch bhi ho. bhavishya me koi bhi bimari aye hum usse tabhi jeet payngy jab hum prakriti ki raksha karngy!

me : ye baat bhi sahi hai jise sabhi ko samjhna chahiye

friend: aoo hum mil kar esa karne me logo ki madad kare or esi jankari sabhi ko de.

Similar questions