kabutaro का jhund-
बहेलीया - जॉल- दाना chugne के लिए - उतरना-
फंसना - वृद्ध kabutar
की salah - bahaliya
के पक्ड मन आकार-
एकता प्रदर्शीत करना pls frnds give me story of this fast...
Answers
Answer:
ek baar ek bahelya jangal se jaa
raha tha.usne ek pedh pr kabutaro
ka jhund dekha wo unhe dekh kar
zameen pr dana daal diya or uske
uper jaal bichadiya.kabutaro ke
jhund ne jb ye dekha to wo apas
main baat cheet kerne lage ki b
bhook lagi hai chalo dana chungle.
wo sab uske jaanib udhne lage
prantu unme ek bhudha kabutar bhi
tha jo unki baat se inkaar kr diya or
bola zara ek baat socho jangle
main itna saara dana aya kaha se..
prantu uski baat kisi ne nhi suni or
bole ki hume bhook lagi hai kaafi
der se khana talash kr rahe hai or
ab jb mila hai to aap mana ker rahe
hain chalo sathiyon......
ye kehte hoe wo saare kabutar
daana khane ke liye neeche uter
aye or bhudha kabutar wahi ek
pedh ki daali pr baitha sb dekh raha
tha jb sabne dana kha liya to unhe
mahsoos hua ki unke pair jaal main
fas gaye hai or wo chillanee lage ye
sunkr budha kabutar unke paas aya
or bola maine to pehle hi bola tha
parantu tum logo ne meri ek na
suni.
tb kabutaro ne maafi mangi or apni
glti ka ahsaas kiya or jaal se
nikalne ki koshish krne lage pr koi
fayeda nhi hua fir budha kabutar
bola sb ek saath milkr udhne ki
koshish kero dekhna jeet hamari hi
hogi tb sbne 3.....2......1......kehker ek
saath jaal ko udhaya or wo jaal
aasmaan main lekr chale gaye or
baheliya unhe dekhta rh gaya or fir
wo budha dost un sbko apne mitr
chuhe ke paas le gaya or chuhe ne
apne danto se jaal ko kuthar diya or
dekhte hi dekhte wo sb azaad ho
gaye ....
ise kehte hai ekta main shakti