कक्षा में अनश ु ासन बनाये रखने केललए लशक्षक और ववद्यार्थी के बीच संवाद ललखखए
Answers
Anushasan ke liye
Shikshak: Priya vidyarthiyon aap to jaante hi hain ki aajkal desh main sabse zyada kewal anushasan ki kami hai.
Vidyarthi:Ji Sir aapne bilkul sahi kaha
Shikshak:Humein anushasan bnaye rakhne ke liye sabse pehle apne aap per niyantran bnana hoga.
Vidyarthi:Sir, hum samjhe nhi?
Shikshak:Hum sabko yeh samajhna hoga ki hum kewal ek vyakti nhi hain balki ek bhavishya ke Bharat desh ka nirman ker rahe hain.Yadi humein bhi doosre deshon ki tarah tarakki karni hai to humein bhi anushasan ka poora dhyaan rakhna hoga tabhi hum pragati ke path per aage badhenge.
Vidyarthi:Aap ki baat poorntaya uchit hai.Kripya bataiy hum kya ker sakte hain.
Shikshak:Humein sabhi vidyarthiyon main se ek kasha ke do monitor chunne honge jo anushasan ka dhyaan rakhenge aur jo vidyarthi baat nhi maane uska naam Shikshak ko dega.Maine jo niyam bnaye hain wo is prakar hain:-
1)Padhai ke samay shor nhi machana
2)Kaksha main kahin koi kachra nhi phenkega.
3)Padhai ke samay khana nhi khana.Khana kewal lunch time main khaana.
4)Sabse vinamrata se baat karni hogi.Koi jhagda ya hathapai nhi hogi.
5)Sabhi shikshakon ko poora samman dena hoga.
Kya aap sab in niyamon ka palan karke apni kaksha ko school ki sabse anushashit kaksha banayenge.
Vidyarthi:Bilkul sir humein aap per Garv hai.Hum sabhi niyamon ka palan karenge