kehna bado ka mano by altaf Hussain hali summary in urdu
Answers
Explanation:
puppils are genearally grateful------ their teachers the guidance received ---- then
maañ baap aur ustād sab haiñ ḳhudā kī rahmat
hai rok-Tok un kī haq meñ tumhāre ne.amat
kaḌvī nasīhatoñ meñ un kī bharā hai amrit
chāho agar baḌā.ī to kahnā baḌoñ kā maano
maañ baap kā azīzo maanā na jis ne kahnā
dushvār hai jahāñ meñ izzat se us kā rahnā
Dar hai paḌe na sadma zillat kā us kā sahnā
chāho agar baḌā.ī to kahnā baḌoñ kā maano
tum ko ḳhabar nahīñ kuchh apne bhale-bure kī
jitnī hai umr chhoTī utnī hai aql chhoTī
hai behtarī usī meñ hai jo baḌoñ kī marzī
chāho agar baḌā.ī to kahnā baḌoñ kā maano
TAGGED UNDER :
bachpan poetry for children
NEXT
ai vatan ai mire bahisht-e-barīñ
kyā hue tere āsmān zamīñ
ALTAF HUSSAIN HALI
PREVIOUS
ai mirī ummīd merī jāñ-navāz
ai mirī dil-soz merī kārsāz
Hope it helps ❤️