Math, asked by Anonymous, 5 months ago

krishan ke mahabharat me 5 dialogue​

Answers

Answered by aaryaraj1037
3

Answer:

bro jaha tak mere ko pata hai .... I think....

Step-by-step explanation:

1. “There are three gates to self-destruction and hell: Lust, Anger & Greed.” – Lord Krishna

2. “A man is made by his beliefs. As he believes. So he becomes.” – Lord Krishna

3. “The Key to happiness is the reduction of desires.” – Lord Krishna

4. “Do everything you have to do, but not with ego, not with lust, not with envy but with love, compassion, humility, and devotion.” – Lord Krishna

8.”Whatever happened was good. What’s happening is going well. Whatever will happen will also be good. Do not worry about the future. Live in the present.” – Lord Krishna

HOPE IT HELPS YOU BUDDY.....

MARK ME BRAINLIEST................

LOVE FOR......

LORD KRISHNA..♥️♥️♥️

Answered by akankshakamble6
1

Answer:

Spardha samapt ho gayi hai Angraaj, Suryast ho gaya hai. Lagta hai Suryadev ki aap par kripa hai. Issiliye aapka samman rakh liya Suryadev ne!"

"Mai Vijay praapt karne k liye adharm nahi karta"

"Apne Shreshthata siddh karne ke liye jo Dharm bhul jaye, woh Vidya nahi, Ahankar hai."

"Par niraash mat hoiye Angraj...ab aap Raja hai. Yudh ke prasang bhi upasthith hote hi rahenge. "

"Ek chuha bhi apne daaton se bandhan kaat deta hai, usse woh upyogi banta hai, Yogya nahi."

"Parantu jis sthaan par aap baithne jaa rahe hai uss sthaan par mai kabhi nahi baithna chahta...Kumar Duryodhan k charno mei mera koi sthaan nahi"

"Yoddha Ranbhoomi mein hi milte hai Angraaj kisi gaaon ke mele mein nahi"

"Yathaartha Keh rahe hai mamashree..Sandhi ki baat wo karte hai jinke bhujaao mei bal nahi hota"

"Rehne dijiye Brathaa Duryodhan yadi is baar spardha ka parinaam aa gaya toh aapki bhot maanhaani hogi"

"Sheetalta hamesha raag mein ho, yeh avashyak nahi. Kabhi kabhi sunne wale ki mann ki sthithi aisi hoti hai"

"Jab aapke asu sukh ke hote hai na Mata, toh humein ganga snan karwate hai, aur jab dukh ke hote hai na, toh humein agnisnan karwate hai Mata."

'

"Jab manushya hasna bhul jata hai, tabh samay kathin prateet hota hai."

"Yadi Raakshas hota toh tumse puchta ki tumhe talke khau, ya bhunke?"

"Vahan ho ya Jeevan,jab paiyyaa dharti mein phas jata hai, toh kisiki sahayata ke bina nahi nikalta.. "

"Hum shram se prapt karte hai,aur prem se tyag karte hai.! Daan naa hi lete hai aur naa hi dete hai."

"Waha bohot Rajkumar aye honge, apne dukho ko naash karne ki aasha mein."

"Pratyek Stri Mata Durga ka roop hoti hai, jo stri ka Aadar nahi karta, woh Saamarthya nahi."

"DhanorVidya seekhi, isliye Uttam hoon, Shreshth banne ki koi Mahatwakanksha nahi hai mujhme."

"Daan hi toh hai mata, kanya ka Daan.

Aapne toh wahi sikhaya hai humein, jagat mein sare daan yachna karne wale ke bhagya ko bandh kar deti hai. Keval kanya ka daan manushya ke bhagya ko khol deta hai."

"Bhrata Duryodhan. Panchaali ke Apmaan karne wale ka mastak kaat dene ka Prann hai mera."

"Apni Patni ke Apmaan sunkar chup rehne wala vyakti keval ek lash ho sakta hai, jeevit nahi ho sakta."

"Yudh ke bad Nakul. Yudh kabhi Vibhajan se uttam margh nahi hota."

"Ved kehte hai, ki bhagwan indra jitne balwan keval ek hi devta hai, agni devta. Aj main agnidevta ka aradhana karke apne pita ka prem prapt karunga.Aur yadi unka prem prapt nahi kar paya toh mrityu ko prapt kar lunga. "

"Aapka vaas toh har disha main hai bhagwan Indra, aissi kaun si disha hai jaha teer chalakar main aapko prasanna kar saku?

"Kya satya' kya asatya Nakul..Angraaj Karna toh keval Bratha Duryodhan ke shabdon ko ratte hai"

"Bhavishya Kartavya se banta hai Sehdev. Kartavya Bhavishya se nahi"

"Yadi hum Paanch hote toh mera balidaan unke (Yudhishtir) liye hota.. Parantu hum 'EK' hai Sehdev"

"Gyaani log kehte hai ki Bhojan mein parmaarth aur Tapasya mein swaarth ho/ Tab hi sharer aur mann swastha rehte hai.. Iss baar mujhe swaarthi banne do"

"CHEDI YUVRAJ! Yadi aapko hamare Rajsuyi yagya se koi virodh hai toh apne nagar laut jaiye, aur hamari sena ki pratiksha kijiye.

Main vachan deta hoon aapko ki apki mrityu se pehle jyehsth bhrata ki singhasan pe chatra nahi chadhega."

"Mera Bhai Bhagwaan Ram ki Padukaaon ki tarah pavitra hai! Main usey tumhare mastak par bithaunga Bhrata Duryodhan."

"Avashya denge anumati... Angraaj Karna ne toh apni aatma tak bech di hai aapko! Samraat Yudhishtir ki orr se main daaon par lagta hoon."

"Sweekar kijiye Angraaj Karn. Yadi aapka aadesh ho toh main Swarg ke pratyek Devtaon ko bandi banakar aapke liye ek ek aise hi Dhanush banwa leta hoon."

"Maine apni Swatantrata khoyi hai. Saamarthya nahii!!."

"Yeh mat bhulo Duryodhan ki Shivling mein Bhagwan ka vaas hota hai, parantu uss pe bhi jab pathhar mara jay tabh usse Agni ki Chingariya nikalti hai. Bhasm kar dunga main tumhe!"

"Jis tarah ye sabhaa andhkaar mein dub gayi hai, uss hi prakaar Maharaj Dhritrashtra ke jeevan ko Andhkaar se bhar dunga main."

"Rakht ki Dhaarayein bahengi, Kate Mastako ka ambaar lagega, Shiv ka Rudra Tandav hoga

Mahasangram hoga

MAHABHARAT hogaaa!!!"

"

Similar questions