लाॅकडाउन के दौरान आम आदमी के कर्तव्यों को लेकर दो मित्रों के बीच संवाद लिखिए।
Answers
Answer:
ram - shaam , ye kya laya hai , maine dekha ke tumne yeh phle nikala or apne haath par chidka .
shaam - namaskar ram , yeh to sanitizer h , yeh apne haatho ko swach or kitanu mukt karne m sahayeta karta hai ,
ram - sanitizer ? kafi kam ki cheez h ye to , is bhayanak mahamari ke daur mai apne aap ko or apne parivar ko surakshit rakhne ke liye yeh bout kaam ayega .
shaam - bilkul sahi kaha , yeh bahar se aaye hue samaan ko bhi swach karta hai or agar hum bahar se aaye h to , hamare haatho ko bhi , acha tum batao ki corona virus se bachne ke liye tum kya savandhaniya baratte ho ?
ram - mai ? mai to hamesh mask lagakar bahar jata hu , bahar se laya hua saamaan ko namak ke paani se dhota hu or bahar ke logo se 2 foot ki doori bnakar rhta hu .. shaam tum batao , ke tum kya karte ho apne aap ko bachene ke liye ,.
shaam - jaisa tum karte ho vaisa hi mai karta hu , mai har 1 ghante tak haath dhota hu , bahar ka khana aaj kal nhi khata , public area m nhi jata or social distancing ka palan karta hu ,
ram - bilkul shai karte ho tum , aise hi hum sab apne aap ko is sankat se bacha skte h , or aasha h ke ye sankat jld se jld tal jaye .
shaam - yahi dua hai , chalo ab m chalta hu