MA ne aisa kyun kaha hoga ki ladki hona par ladki jaisi dikhayi math Dena.....
Answers
Answered by
49
Maa ne apni zindagi mein vivah se sambandhit kayi paristhitiyo ka samna kiya h aur unhe pataa h ki vivahit jevan mein ladki ko kya kya sehna pad sakta h. Maa jaanti h ki uski beti ko shaadi se sambandhit sabhi prakar ki sukhi bhawnao se gyat h lekin woh iss baat se anjaan h ki vivah k baad uspe kya kya bojh pad sakta h. Maa apni beti ko kehti h ki ladki hona lekin ladki jaisa dikhayi mat dena. Maa k iss baat ka matlab yeh ki maa apni beti ko kehti h ki ladkiyo jaisa swabhav rakhna lekin kisi bhi paristhiti mein kamzor dikhayi mat dena. Apne sabhi kamo ko bakhubi se nibhana lekin kabhi kisiki gulaam mat hona. Alankar aabhushan ki vash mein aake kabhi apna atma samman nhi khona. Maa apni beti ko yeh kehkar vivahit jevan se jude har prakar ki paristhitiyo se use gyat karati h. Isiliye maa ne apni beti ko aisa kaha.
Hope it helps. Thank you. ʘ‿ʘ
Hope it helps. Thank you. ʘ‿ʘ
Answered by
0
If this is one of your hindi litrature question you must send the chapter name
Similar questions